Rehta Hai Jo Zamanay Mein
Rehta hai jo zamanay mein Haider se duur duur.
Hoga baroz e hashr payambar se duur duur.
Rehta hai jo zamanay mein…
1. Tum khushk sang rezoan se kya faiz pao ge (x2).
Qatroan pe mar rahay ho samandar se duur duur.
2. Aisay bhi soorma thay Nabi ki sipaah mein (x2).
Phirtay rahay alam liye khyber se duur duur.
3. Ghar mein saja liya hai Aza khana e Hussain.
Ab gardishain rahaingi mere ghar se duur duur.
Ab gardishain rahaingi.
4. Paani pila sakay na jo naam e Hussain par (x2).
Hongay baroz e hashr woh kausar se duur duur (x2).
Rehta hai jo zamanay…
Check out all kalaams on this website by Ustad Pyare Khan sahab: http://www.abulhasanlakhani.com/tag/iftikhar-hussain/
Check out all kalaams on NohayOnline by Ustad Pyare Khan sahab: http://www.nohayonline.com/manqebat/PyareKhan.html
Ustad Pyare khan ke kalaam rooh ko apne Parwardigar ke qareeb kar deti hai.