Zahoor ka waqt aa gaya hai Imam se la’ou lagaaye rakhna.
Zahoor ka waqt aa gaya hai Haram pa nazrain jamaaye rakhna.
Zahoor ka waqt aa gaya hai charag-e-ulfat jalaaye rakhna.
Na neend aaye na oongh aaye, rakho har ik par nazar jamaaye.
Dil-o-nazar se ke saamrah se na jaane kis raaste se Aaye.
Zahoor ka waqt aagaya hai har aik rasta sajaaye rakhna.
Na hubb-e-dunya se kuch ilaaqa na ghair se raah-o-rasm rakhna.
Tumhari daulat hai ilm-o-taqwa, karega dajjaal is pe hamla.
Zahoor ka waqt aagaya hai tum apni poonji bachaaye rakhna.
Yahin kahin aas paas hoga, woh aaney waala tha aa chuka hai.
Hawaari Eissa ke saath honge, mawaali Maula ke saath honge.
Zahoor ka waqt aagaya hai, mawaaliyoan se banaaye rakhna.
Hai intiqaam-e-Hussain baaqi, wo aaney waala hisaab lega.
Aqeeda apna durust rakhna, jo unki nusrat ki hai tamanna.
Zahoor ka waqt aagaya hai, amal ko bhi Aazmaaye rakhna.
Siwaaye chand ik zahoor ki sab alaamatein poori ho chuki hain.
Baseerat-o-Ma’arifat tumhari adu-e-haq ko khatak rahi hain.
Zahoor ka waqt aagaya hai dil-o-nazar ko bachaaye rakhna.
Naye naye nagmaha-e-ulfat jo roz keh keh ke la rahe ho.
Pa-e-Ziyarat jo Sibt-e-Jafar Imam ke dar par aa paday ho.
Zahoor ka waqt aagaya hai tum apna bistar lagaaye rakhna.