Iss Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas
Rag Rag Me Wafadariyan Bhar Dete Hai Abbas
Iss Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas
Yeh Aaise Sakhi Aaise, Sakhi Aaise Sakhi Hain
Kuch Maange Bina Jholiyan, Bhar Dete Hain Abbas
Jo Shehr-e-Wafa Ke Liye, Jaate Hain Safar Ko
Un Logoan Ko Saaman-e-Safar Dete Hain Abbas
Roze Ki Ziyarat Se, Yeh Ehsas Hua Hai
Binae Tawanaayi Se Bhar Dete Hain Abbas
Jo Kufr Ke Lashkar Se Bhara Hota Hai Aksar
Maidan Wahi Lashon Se Bhar Dete Hain Abbas
Jo Shaks Yahan Rota Hai Shabbir Ke Ghum Mein
Khush Ho Ke Usay Khuld Mein Ghar Dete Hain Abbas
Jub Koi Bayaan Karta Hai Shabbir Ki Midhat
Lehje Me Qayamat Ka Asar Dete Hain Abbas
Shabbir Ka Dushman Ho Mukabil To Zuban Ko
Lafzon Ke Tabarrayi Tabar Dete Hain Abbas
Sadqe Mein Sakina Ke Kabhi Maang Ke Dekho
Kuza Hi Nahi Jholi Bhi Bhar Dete Hain Abbas
Masoom Sakina Ko Jo Pani Na Pila Paayain
Woh Hath Juda Jism Se Kar dete Hain Abbas
Gazi Ka Qasida Kiya Tahreer To Jaana
Lafzon Ke Aewaz Laal O Gohar Dete Hain Abbas
Iss Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hain Abbas
Rag Rag Mein Wafadaariyan Bhar Dete Hain Abbas