Ali Ko Yaad Wo Ummat (Salaam) – Joan Rizvi 2019-20

Ali Ko Yaad Wo Ummat Ka

Haa
Chala jo masjid-e-kufa wo faatah-e-Khyber
To roknay lagi murghabiyaan bhi ro ro kar
Na roko aaj hamein keh ke bahar gayay Haider
Sukoon dil ko nahi be karaar hota hoo’n
Wo zulm haaye jo ummat ke yaad karta hoo’n

Ali ko yaad wo ummat ka har sitam aaya (x2).

Khayaal bint-e-Nabi ka.
Khayaal bint-e-Nabi ka Ali ko jab aaya

Ali ko yaad wo ummat ka har sitam aaya

Nabi ko chor ke shoora ko sab sajaa baithay
Jo takht-o-taaj ki laalach mein sab bhula baithay
Ghadeer mein jisay Mola kaha na yaad aaya

Ali ko yaad wo… (x2)

Galay mein daal ke rassi mujhay jo kheencha tha
Nigaah-e-aas se Zehra ne haaye dekha tha
Batool bhooli na mein bhi kabhi bhula paaya

Ali ko yaad wo… (x2)

Meray salaam ka dena jawaab chor diya
Nabi ke baad musalmaa’n ne moo’n ko modh liya
Shikasta dil se mein Zehra ko ye bata paaya

Wo jalta dar teray pehlu pe jab giraaya tha
Saraapa tera jo deewaar-o-dar mein aaya tha
Shaheed kar diya Mohsin ko kya sitam dhaaya

Ye zarb-o-zakhm Ali ko kahaa’n daraeingay
Wo bayn Zainab-o-Kulsoom ke rulaeingay
Na Zehra tum ho na mera rahay ga ab saaya

Hasan rafeeqo’n se keh do ke laut jaayein zara
Sunay na koi meri betiyo’n ki aah-o-buka
Na waqt shaam-e-ghreeba’n ka hai abhi aaya

Hasan ko sonp ke sab ko kahoonga aye Abbas
Rahay na koi tu rehna meray Hussain ke paas
Ke karbala ke liyey Rabb se hai tujhay paaya

Phir aik Joan jo masjid se thee sadaa aayi
Kasam Khuda ki Ali ne kaha fatah paayi
Khayaal Rizvi yateemo’n ka aakhri aaya

Ali ko yaad wo ummat ka har sitam aaya

Dinay khuda ki kashti laga dhobnay lageee
Tareehk karbala ki taraf dehknay lagi

Check out other Soz o Salaam from Joan Rizvi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/joan-rizvi-soz-o-salaam/

Joan Rizvi’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/JoanRizviOfficial

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.