Asghar Na Milay Ga – Irfan Haider 2004-05

Asghar Na Milay Ga

Jhoola na jhulaao… Aray rona hai muqaddar
Ab aayega na… Wo jhoolnay waala
Aye maadar-e-Asghar

Na milay ga (x3)

Jhoola to nazar aayega Asghar na milay ga

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Ab saari khudaayi mein (x2)
Asghar na milay ga (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Ab jhoola jhulaanay ko taras jaayengi baahain
Khaimay mein kabhi dasht mein dhoondengi nigaahein
Thak jaayengi ye aankhein (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Ye soch ke rota hai mera dil bhi tadap kar
Us waqt tere qalb pe kya guzray gi muztar
Jaab raatoan ko pehlu mein (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Kya waqt-e-museebat hai zara dekh aye dukhiya
Kal jhoolay mein besheer tha aur paani nahi tha
Mil jaayega jab paani (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Saaye mein na jaaongi tu ghar laut ke aa ja
Har waqt tere hontoan par hoga yehi noha
Bin tere sukoon maa ko (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Dhaayenge laeen hum par abhi aur qayaamat
Dhoondenge shaki dasht mein besheer ki turbat
Shohde ke saroan mein jab (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Bin paani ke dunya se sidhaara mera Asghar
Jab aayega paani to meri pyaari si dukhtar
Dhoondegi usay ban mein (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Zindaan se riha ho kar jab jaaogi tum ghar
Har godh mein dhoondegi bohat royegi muztar
Jab Fatima Sughra ko (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Haathoan mein uthaogi jab paani ka kooza
Paani mein nazar aayega besheer ka chehra
Bas aks nazar aayega (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Yaad aayega reh reh kar jo Asghar ka humakna
Aur shauk-e-shahadat mein wo jhoolay mein machalna
Tum dil ko mana lena (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Asghar ke shalooke jab nazar aayenge ghar mein
Ik dard sa us waqt bhi uthay ga jigar mein
Sab hongay wahan lekin (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Kya beet gayi hogi us maa ke jigar par
Socho to zara kehta hai Irfan se Mazhar
Jab Sheh ne kaha hoga (x2)
Asghar na milay… (x2)

Jhoola to nazar aayega Asghar… (x2)

Asghar na milay ga (x3)

Check out other noha’s by Syed Irfan Haider:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/syed-irfan-haider-rizvi/

Check out Syed Irfan Haider’s YouTube Channel
https://www.youtube.com/irfanhaider

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.