Hatheli Par Rakhay Sar
Hatheli par rakhay sar Shah ke ansaar bethay hain
Khuda ki raah mein marnay ko sab tayyar bethay hain
Mussallay par Ali Akbar hi hain bethay huay lekin
Shabaahat keh rahi hai Ahmed e Mukhtar bethay hain
Sipah e shaam se Hurr ne kaha kasrat pe mat phoolo
Meri jaanib bahattar Haider e Karrar bethay hain
Abhi se ashkiya par is kadar dehshat hai kyun taari
Abhi to lashkar e Sheh ke alam bardaar bethay hain
Yahan se jaayenge seedhay ye Zehra ke khazanay mein
Meri palkoan pe jitne gohar e shehwaar bethay hain
Hatheli par rakhay sar Shah ke ansaar bethay hain
Koi paikaar e Asghar dekh ke ye keh nahi sakta
Ke ye is imtehaan mein aaj pehli baar bethay hain
Kiya hai shaam ke haakim ka peecha shaam tak logo
Kahin par aik pal kya Abid e beemar bethay hain
Jo na waaqif hain yaksar dostoan taqleed se ab tak
wo sab tauzeeh ke badlay liye akhbaar bethay hain
Farishtay qabr mein Hasnain ki hairat se ye bolay
Aray ye kya yahan to Haider e Karrar bethay hain
Khuda ki raah mein marnay ko sab tayyar bethay hain
Hatheli par…
Check out more kalaam by Brother Abu Turab Naqvi at
https://youtube.com/@abutuanaqvi2793
Check out other beautiful soz o salaam on our website
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/abu-turab-naqvi/