Aap Achay Hain Chacha Par Ye Zamana Nahi Acha
Aap achay hain chacha par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha

Aasmaa’n roye ga khaimo’n mein qayamat hogi

Bin Alamdaar alam khaimo’n mein laana nahi acha
Aap achay hain… Par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Sirf ik raat mein kyun boodha hua hai Sajjad

Sar khulay maao’n ke beto’n ko dikhana nahi acha
Aap achay hain… par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Aik Shahzaadi thi jis shehar ki Bibi Zainab

Us ke baazaaro’n mein Zainab ko phirana nahi acha
Aap achay hain… par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Jaisay Zindaa’n mein Sakina hai mili Baba se

Is tarha’n baap se beti ko milaana nahi acha
Aap achay hain chacha par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Khush naseebi hai jo de baap ko beta kaandha

Baap ka laash e jawaa’n haaye uthaana nahi acha
Aap achay hain… par ye zamana nahi acha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Qabr Asghar ki bana kar hain pareshaan Hussain

Aag si reyt mein ik phool chupaana nahi acha
Aap achay hain magar…
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Ab hamesha main rahoongi isi zindaa’n mein chacha

Main na kehti thi mujhe chodh ke jaana nahi acha
Aap achay hain chacha…
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Sar khulay bibiyaa’n roti hain aza khaano mein

Shab e aashoor chiraago’n ko jalaana nahi acha
Aap achay hain chacha…
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Har khushi sadqay mein Zainab ke Khuda de tujh ko

Haan Muharram mein khushi koi manana nahi acha
Aap achay hain chacha…
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Hum Ali waalo’n ko aye Sarwar o Rehan kabhi

Farsh e Maatam ke siwa dhoondnay jaana nahi acha
Aap achay hain chacha
Pyaas achi hai magar aap ka jaana nahi acha
Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/
Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar