Mere Baba Mere Baba – Syed Nasir Zaidi 1991-92

Mere Baba Mere Baba

Poet: Mushtaq Hussain Shabbar (Marhoom)

Scroll down for lyrics transliterated in English

دَشتِ پر حول میں جلتے ہوۓ خیموں کے قریب

تھرتھراتے ہوۓ سہمے ہوۓ بچّوں کے قریب

دیکھ کر شب ہے لُٹیرے ہیں یہ تنہائ ہے

سر پہ ایک اور مصیبت لیے رات آئ ہے

کوئ وارس نہ تھا دل تھام کہ اُٹھی زینب

کر کے دم نادِ علی گشت پے نکلی زینب

نَاگہاں دیکھا وہ منظر کہ ہوا دِل بےتاب

اِک سَوار آیا اِدَھر دال کے چہرے پہ نقاب

بَڑھ کے زینب نے بَسد جاہُ ہَشَم روک دیا

باگ پہ ڈال کے ہاتھ اُس کو وَہیں روک دیا

بولی اب لوٹنے والے یہاں کیا پائینگے

دیکھیۓ بچّے میرے خوف سے مر جائینگے

یک بہ یک نور کے ہالے میں جو چہرہ دیکھا

غمُ اندوہ بڑھا ضبط کا آرہ نہ رہا

چیخ اک مار کے وہ باپ کے قدموں پہ گری

اور حوش جب آیا تو رو رو کہ بیاں کرنے لگی

میرے بابا میرے بابا

بھائ جب مارا گیا آپ کہاں تھے بابا

تیر اصغر کے لگا آپ کہاں تھے بابا

قتل عبّاس ہوا آپ کہاں تھے بابا

میرے بابا میرے بابا

سب یہ کہتے ہیں کہ ہے نعمتِ داور پانی

بند کرتا ہے کہاں کون کسی پر پانی

یہ ستم ہم پہ ہوا آپ کہاں تھے بابا

میرے بابا میرے بابا

پیاسے بچّوں کے لیے جنگ جو عبّاس نے کی

ایسی یلغار ہوئ مَشکِ سکینہ نہ بچی

ایک اک بازو کٹا آپ کہاں تھے بابا

میرے بابا میرے بابا

آیا اصغر سَرِ میداں تو ہوا اور ستم

سوکھے ہونٹوں پہ زُباں اُس نے پھرائ جس دم

تیر جب اِس کے لگا آپ کہاں تھے بابا

میرے بابا میرے بابا

Dasht e pur hol mei jaltay huay khaimo ke kareeb
Thar tharatay huay sehmay huay bachho ke kareeb
Dekh kar shab hai luteray hai ye tanhaayi hai
Sar pe ik aur museebat liye raat aayi hai
Koi waaris na tha dil thaam ke uthi Zainab
Kar ke dum Naad e Ali gasht pe nikli Zainab

Na gaha dekha wo manzar ke hua dil be taab
Ik sawaar aaya idhar daal ke chehray pe naqaab
Badh ke Zainab ne basad jaah o hasham tok diya
Baag pe daal ke haath us ko wahin rok diya
Boli ab lootnay walay yahan kya paayainge
Dekhiye bachhay mere khauf se mar jayainge

Yak ba yak noor ke halay mei jo chehra dekha
Gham o andoh badha zabt ka aara na raha
Cheekh ik maar ke wo baap ke kadmo pe giri
Aur hosh jab aaya to ro ro ke bayan karnay lagi

Mere Baba Mere Baba

Bhai jab maara gaya, aap kaha thay Baba
Teer Asghar ke laga, aap kaha thay Baba
Qatl Abbas hua, aap kaha thay Baba

Mere Baba…

Sab ye kehtay hai ke hai, nemat e daawar paani
Band karta hai kaha, kaun kisi par paani
Ye sitam hum pe hua, aap kaha thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Pyaasay bachho ke liye, jang jo Abbas ne ki
Aisi yalgaar hui, mashk e Sakina na bachee
Aik ik baazu kata, aap kahan thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Aaya Asghar sar e Maidaa to hua aur sitam
Sookay honto pe zuba, us ne phirayi jis dum
Teer jab is ke laga, aap kaha thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Mera dilband e Hasan, jab nahi haara Baba
Is tarha mil ke sabo ne usay maara Baba
Laasha pamaal kiya, aap kaha thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Baad e Shabbir hamara koi waaris na raha
Ashqiya aa gaye khaimo mei hua hashr bapa
Jab chini meri rida, aap kaha thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Jab har ik ahl e sitam, aag laganay aaya
Itna Sajjad tha beemar ke utha na gaya
Jal ke sab khaak hua, aap kaha thay Baba

Mere Baba…

Sun ke farmaya Ali, ne meri beti mat ro
Aazmayish ye hai hum sab ki abhi sabr karo
Dil magar kehta raha, aap kaha thay Baba

Mere Baba…

Main to har gaam pe tha, saath tumharay beti
Chup tha bas marzi e mabood ke maaray beti
Tum ne ye kaisay kaha, aap kaha thay Baba

Mere Baba…

Jab kabhi chashm e tasawwur se ye Shabbar dekha
Baap ko girya mei beti ke baraabar dekha
Haaye kaisa tha gila, aap kahan thay Baba

Mere Baba Mere Baba

Check out other nohas from Syed Nasir Hussain Zaidi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nasir-hussain-zaidi/

Check out Syed Nasir Hussain Zaidi’s YouTube Channel:
https://www.youtube.com/c/NasirZaidi

Check Also

Zainab Zainab - Syed Nasir Hussain Zaidi

Zainab Zainab – Nasir Hussain Zaidi

Zainab Zainab Zainab Zainab Zainab Zainab Zainab. Zainab Zainab Zainab Zainab. Kehtay thay Shaah-e-Karbala. Zainab …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.