Guzar Gaye They Kaee Din Ke Ghar Mei Aab Na Tha
Poet: Mir Babbar Ali Anees
Bandish: Syed Aftab Ali Kazmi
Recitor: Syed Ali Asghar Kazmi
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
مگر حُسین سے صابر کو اِضطراب نہ تھا
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
اگر بہشت میں ہوتے نہ کوثر و تسنیم
تو رونے والوں کی آنکھوں کا پھر جواب نہ تھا
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
فقط حُسین کے بچّوں پہ بند تھا پانی
بہت قریب تھی وہ نہر قحطِ آب نہ تھا
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
وہ لوگ جمع تھے قتلِ حُسین پر کہ جنھیں
خُدا سے خوف مُحَمَّدٌ سے کچھ حجاب نہ تھا
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
غَضَب کی جاء ہے کہ دربار میں سِتَمگر کے
کھڑی تھیں بِنتِ عَلی اور کُچھ حِجاب نہ تھا
گزر گۓ تھے کئ دن کہ گھر میں آب نہ تھا
Guzar gaye they kaee din ke ghar mei aab na tha
Magar Hussain se saabir ko iztiraab na tha
Guzar gaye they…
Agar bahisht mei hotay na kausar o tasneem
To ronay waalo ki aankho ka phir jawaab na tha
Guzar gaye they kaee din…
Faqat Hussain ke bachho pe band tha paani
Bohat kareeb thi wo nehar qaihat e aab na tha
Guzar gaye they kaee din…
Wo log jam’aa they qatl e Hussain par ke jinhein
Khuda se khauf Muhammad se kuch hijaab na tha
Guzar gaye they…
Gazab ki jaa hai ke darbaar mei sitamgar ke
Khadi thi bint e Ali aur kuch hijaab na tha
Guzar gaye they kaee din ke ghar mei aab na tha
Magar Hussain se saabir ko iztiraab na tha
Check out all kalaams from Janab Syed Ali Asghar Kazmi
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/syed-ali-asghar-kazmi/
Check out Syed Ali Asghar Kazmi’s YouTube channel
https://www.youtube.com/@citymar