Title: Ali Ali kar Ali Ali kar
Shah-e-Mardaa’n Sher-e-Yazdaa’n Quwwat-e-Parwardigaar.
La Fata Illa’h Ali La Saif Illah Zulfiqar.
Zameer-e-Insaa’n ka faisla hai Ali Ali kar Ali Ali Kar.
Ali Ali kar Ali Ali kar. (x2)
Khuda ne Adam se keh diya hai.
Ali Ali kar Ali Ali kar.(x2)
Ali shifa’at ka harf-e-aakhir Ali hai imaan ka tarazu.
Isi ke Shahbaz bhi sawali, gada hain is ke Farid-o-Baahu (x2).
Bhitayi ne bhi yehi kaha hai.
Ali Ali Kar…(x2)
Hamain to ishq-o-wafa ki daulat Ali ke dar se ata hui hai.
Ali wali se hasad aye waayiz, hamaray maslaq main khudkushi hai (x2).
Tujhe payambar ka waasta hai.
Ali Ali kar…(x2)
Ali ka ghar hai woh ghar musalma’n jo aaqibat ko sanwaarta hai.
Zameen kya hai ye aasmaa’n bhi, usi ka sadqa utaarta hai (x2).
Yehi waseela nijaat ka hai.
Ali Ali kar…(x2)
Munafiqat ka hai ye iraada halal sheh ko haraam kar de.
Ye gham aqeeday ki zindagi hai, bas is ka kissa tamam kar de (x2).
Yaqeen ka dum nikal raha hai.
Ya Ali Ya Ali, Ya Ali Ya Ali. (x2)
Zameer-e-Insaa’n ka faisla hai, Ali Ali kar (x2).
Munafiqat ki andheri raahoan pe chal paday hain zamanay walay.
Ye waqt-e-mohlat mila hai tujhko, Hussainiat ka alam utha le (x2).
Hamara tujhko ye mashwara hai.
Ali Ali kar…(x2)
Mohib ke wijdaan ki sada hai Hussainiat ka shi’aar rakhna.
Ali ke ghar se agar hai nisbat, ye farsh-e-gham barqarar rakhna (x2).
Mohib zamana badal raha hai.
Ali Ali kar Ali Ali Kar
Ya Ali Ya Ali, Ya Ali Ya Ali. (x2)