Aaiye apnay maula se baatain karain.
Aaj mauqa bhi hai aur fursat bhi hai.
Main mukhatib jo hun woh bhi maujood hain.
Khud kalami nahi hai sama’at bhi hai.
Aaiye apnay maula se baatein karain.
1. Mera Imaan hai mera aelaan hai.
Aap gayab nahi balke maujood hain.
Aap waaqif bhi hain aur qaadir bhi hain.
Ye bura waqt hai meri nusrat karain.
Mujhse baatein karain mujh ko shabash dain.
Meri khidmaat ki mere kirdaar ki.
Daad dijiye mujhe meri sachayi ki.
Mere afqaar ki mere ash’aar ki.
2. Gar gunehgaar hoon aur khatakaar hoon.
To bhi kya hai bashar hoon payambar nahi.
Main na masoom-o-mursal wasi-o-Ali.
Main farishta nahi koi rehbar nahi.
Aik shaayir hoon haq ka parastaar hoon.
Aur isi waastay barsar-e-daar hoon.
Naam par jo tere dhoke baazi karain.
Waaste un ke shamsheer-o-talwaar hoon.
Aaiye apnay maula se baatain karain.
3. Meri hasti hi kya meri taaqat bhi kya.
Aap ka saath hai tab hoon saabit kadam.
Main jo madd-e-muqaabil hoon ashraar ke.
Shaamil-e-haal hai aap hi ka karam.
Meri roodaad ko meri faryaad ko.
Koi sunta nahi kis ko awaaz doon.
Jo bhi hota rahay honay doon chup rahoon.
Aap farmaaiye Aaqa main kya karoon.
Aaiye apnay maula se baatain karain.
4. Al-madad al-madad al-amaa’n al-amaa’n.
Al-ajal al-ajal Ya Imaam-e-Zamaa’n.
Toot padhnay ko hain hum par ab bijliyaan.
Aye Imaam-e-Zamaa’n al-amaa’n al-amaa’n.
Hum ne maana ke hum sab gunehgaar hain.
Aap ke naam lewa hain hub daar hain.
Un ke rehm-o-karam par na chodhain hamain.
Dushman-e-deen-o-millat jo ashraar hain.
5. Uth rahain hain jo fitnay hamaray khilaaf.
Un ke madd-e-muqaabil ayaanat karain.
Marja’iyyat azaadari naimaat hain.
Aap hi maula in ki hifaazat karain.
Jin ko paas-e-shariyyat nahi hai zara.
Un ka kya tazkira un ka shikwa bhi kya.
Zaahiran maula jo log dee’n daar hain.
Aap par hai ayaa’n un ka sab maajra.
6. Mangni mehndi shaadi waleema huzoor.
Apni khushion main shaamil hai fisk-o-fujoor.
Hadh ye hai maut aur gham ke mauqoan pa bhi.
Din ba din ho rahay hain shariyyat se duur.
Mohkamaat-e-shariyyat hain tanqeed ki.
Zad main Maula madad Aap farmaaiye.
Ab nahi koi ummeed islaah ki.
Zulfiqaar-e-Ali le ke aa jaaiye.
Aaiye apnay maula se baatain karain.
7. Oadh ke sher ki khaal dumbay hiran.
Bhedhiye bhedh bhi sher-e-nar ho gaye.
Molvi mufti ghazi namazi mujahid.
Kalam kaar bhi paishaawar ho gaye.
Farq mazloom-o-zaalim main baaqi nahi.
Ilm par jehal galbay ki koshish main hai.
Rab-e-Kaaba tujhe tera hi waasta.
Abraha phir se hamlay ki koshish main hai.
8. Aye Imam-e-Zamaa’n Shah-e-har do jahaa’n.
Kyun main dub kar rahoon Aap aa jaayain to.
Hain jo dushman zameen aasmaa’n bhi mere.
Phir bhi tan kar chaloon Aap aa jaayain to.
Taana zan hain jo mujh par ye ahl-e-jahan.
Sab ko samjhaaon main mere bas main kahan.
Aap ke saamnay in ki auqaat kya.
Main inhain dekh loon aap aa jaayain to.
9. Intiqaam-e-shaheedan-e-Karbo bala.
Dekhna hai mujhe shah-e-har do sara.
Maut is shart par mujhko manzoor hai.
Phir se main jee uthoon aap aa jayain to.
Naghmahaa-e-mawaddat sunata hoon main.
Aap ke aashiqon ko lubhaata hoon main.
Aap ki raah main maula sajday karoon.
Aur qaseeday padhoon aap aa jaayain to.
10. Shayir-o-soz khwaan Sibt-e-Jafar hoon main.
Sab ko maaloom hai kis ka nauker hoon main.
Main museebat main hoon aap gaibat main hain.
Kyun masaayib sahoon aap aa jaayain to.
Aaiye apnay maula se baatain karain.
Please check out the cover for this manqabat done by me:
Very Nice and Thanks for Lyrics, May Allah reward you for all your efforts