Kehtay thay shah-e-deen. Mere Abbas Kahan Ho.
Abbas Kahan Ho (x2).
1. Tanhan hoon khada dasht-e-bala mein baraadar.
Dekho zara aa kar (x2).
Paala jinhain naazon se. Sotay hain kahan woh.
Abbas Kahan… (x2)
2. Dikhta nahi ab aankhon se har su hai andhera.
Dam rukta hai mera (x2).
Deta hai sadayain Ali Akbar mera mujh ko.
Abbas Kahan… (x2).
3. Seenay mein jawan laal ke barchi ki ani hai.
Tharrati zameen hai (x2).
Uljha hua barchi mein na Akbar ka jigar ho.
Abbas Kahan…(x2).
4. Seenay se sina khench ke Akbar ke sirhaanay.
Is dasht-e-bala mein (x2).
Takta hoon basad yaas se dam todtay us ko.
Abbas Kahan…(x2)
5. Haathon pe ugalta hai lahoo Asghar-e-besheer.
Gardan pe laga teer (x2).
Kya keh ke tasalli doon main dar pe khadi maa ko.
Abbas Kahan… (x2).
6. Chalti thi siyaah aandhiyan. Khoon bikhra tha har soo.
Jab khol ke gaysu (x2).
Aik laash-e-bureeda pe ye maa kehti thi ro ro.
Abbas Kahan… (x2).