Kohram Mach Gaya – Mir Hasan Mir 2010-11

Kohram Mach Gaya

Alvida Alvida (x2).

Khaimay mein aa ke Shah ne jab alvida kaha.
Kohram mach gaya kohram mach gaya (x2).

Khaimay mein aa ke Shah ne jab alvida kaha.
Kohram mach gaya kohram mach gaya (x2).

1. Tha jis ka intezar woh saa’at kareeb hai.
Din dhal raha hai sham-e-museebat kareeb hai.
Kuch der ki hai baat qayamat kareeb hai.
Zainab ghareeb bhai ki rukhsat kareeb hai.
Ye keh ke maanga maa ka jo kurta sila hua.
Kohram mach…(x2)

2. Kuch duur hatkay khaimay mein bolay Shah-e-Zaman.
Zehmat na ho to baazu badhaao zara behan.
Main bosay loon wahan ke bandhay gi jahan rasand.
Baazu badha ke roti thi hamsheer khasta tan.
Bhai behan ke baazu ko jab choomnay laga.
Kohram mach…(x2)

3. Ye sun ke bint-e-Fatima Zehra tadap gayi.
Boli gala badhaao bas ab jald ya akhi.
Amma ki baat aaj mujhe yaad aa gayi.
Main bosay loon wahan ke chalay gi jahan churi.
Zainab ne badh ke chooma baradar ka jab gala.
Kohram mach…(x2)

4. Beti se phir ye kehnay laga Fatima ka laal.
Rehna phupi ke pass rakhaingi tera khayal.
Gurbat hai tum phupi se na karna koi sawal.
Warna tere padar ko bohat hoyega malal.
Phir sar pe haath rakh ke jo denay lagay dua.
Kohram mach…(x2)

5. Beti ko jab supurd-e-behan kar chukay Imam.
Ro kar behan se kehnay lagay aasman maqaam.
Jaana watan jo qaid se chut kar aye tishnakaam.
Kehna lahad pe maa ki mera aakhri salaam.
Aaya jo lab pe Fatima Zehra ka tazkira.
Kohram mach…(x2)

6. Abid se phir ye kehnay lagay Shaah-e-Karbala.
Bewaaon aur yateemon ka ab tum ho aasra.
Jo imtehaan mera tha wo sab main ne de diya.
Aagay tera jihaad hai beemar-e-Karbala.
Beemar beta baap se jis dam juda hua.
Kohram mach…(x2)

7. Khaimay se baahir aayay jo sultaan-e-Karbala.
Sar ko jhukaaye rota tha khud asp-e-bawafa.
Ab kis tarhan sawar ho Zehra ka laadla.
Tanhaayi ke siwa koi yawar nahi bacha.
Jab su-e-nehar dekh ke Ghazi ko di sada.
Kohram mach…(x2)

8. Bhai ko tanha dekh ke Zainab tadap gayi.
Roti hui Hussain ke nazdeek aa gayi.
Aur phir raqaab thaam ke boli aye Shaah-e-Deen.
Lo main sawaar karti hoon Abbas gar nahi.
Waayiz hua sawaar jo Zehra ka laadla.
Kohram mach gaya (x2)

Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/

Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir

Check Also

Mera Muslim Akela Hai - Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai – Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai Haaye Muslim Haaye Muslim (x4) Kaha Shabbir ne Ghaazi wo dekho jaanib-e-KoofaMera …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.