Kufe Ka Aur Shaam – Nadeem Sarwar 1989

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Kufe ka aur shaam ka manzar (x2).
Yaad jab aa jata hai baba.
Dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur shaam ka manzar.

1. Kabr pe Shabbir ki kartay thay Abid buka (x2).
Ho gayi kya kya jafa sun ye shah-e-karbala (x2).
Sar pe kisi ke na thi chaadar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
kufe ka aur shaam…

2. Aik rasand mein bandhay chotay badoan ke galay (x2).
Barsar-e-darbar sab is tarhan laaye gaye (x2).
Kothon se barsatay thay pathar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur shaam…

3. Kufe ke baazaar mein majma-e kuffar mein (x2).
Aik tamasha sa tha aal-e-sitamgaar mein (x2).
Aisay mein maa behnain khulay sar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba
Kufe ka aur…

4. Tauq se hargiz na tha baba mera sar jhuka (x2).
Hathkadi aur bedi ka koi mujhe gham na tha (x2).
Arey dekha nahi jaata tha manzar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

5. Arey baali Sakina ka gham dil ye nahi bhoolta (x2).
Sab ke the shaanay bandhay us ka bandha tha gala (x2).
Arey dard se wo roti thi muztar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

6. Meri phuphi jaan thi balway mein jo sar khulay (x2).
Naizay se ammu mere farsh pe gir padtay thay (x2).
Haaye chacha jaan ka safar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

7. Le ke gayay jab hamain bazm-e-sitamgaar mein (x2).
Saat-sau kursi nasheen baithay thay darbaar mein (x2).
Takht pe baitha tha sitamgar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

8. Jab kiya Sajjad se aa ke kisi ne sawaal (x2).
Guzra kahan par Imam aap ko zyaada malaal (x2).
Arey kehtay thay ash-shaam muqarrar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

9. Maqtal-o-tareekh bhi kar na sakay haq ada (x2)
Likhay anees-e-hazeen girya-e Abid ko kya (x2).
Kehte thay ye Abid-e-muztar.
Yaad jab aa jata hai baba dil mera phat jaata hai baba.
Kufe ka aur…

Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/

Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar

Check Also

Sad Shukr Mere Yaarab - Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab – Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab Sajday mein sar hai halq pe khanjar ki dhaar haiBanda ye …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.