Ammu Bhi Gaye – Nadeem Sarwar 1983

Ammu Bhi Gaye

Jis dum jalay khayaam-e-Shehanshaah-e-behr-o-bar.
Aik bachi nikli khaimay se us dum barhaina sar.
Jalta tha daaman aag se kapday thay khoo mein tar.
Maqtal ki simt rukh kiye jaati thi noha gar.
Sab ran mein ja ke reh gaye tanha hamain kiya.
Aada ne cheeni chaadarain. Khaima jala diya.

Ammu bhi gaye. Baba bhi gaye (x2).
Ammu bhi gaye. Baba bhi gaye (x2).

1. Ta hadd-e-nazar laashay hain paday.
Baandhay halka aada hain khaday.
Ghar jalta hai zar lut ta hai (x2).
Waaris ne rahay.
Ammu bhi…(x2)

2. Loota zevar cheeni chaadar (x2).
Hain aal-e-Muhammad nangay sar (x2).
Kartay hain jafa hum par aada (x2).
Kaun ab rokay.
Ammu bhi…(x2)

3. Bur-waqt phuppi khaimay mein gayi (x2).
Bistar hi jala bas khair hui (x2).
Tab hai aisa ghash mein bhayya (x2).
Aabid hain paday.
Ammu bhi…(x2)

4. Dum ghut-ta hai phaila hai dhuwaan (x2).
Ab jaayain kahan jo paayain ama (x2).
Hain kaun yahan jo jaa ke wahan (x2).
Qasim se kahay.
Ammu bhi…(x2)

5. Atthara baras yun paala tha (x2).
Pardes mein Akbar hongay juda (x2).
Seena kobi karti hain phuppi (x2).
Kar ke naalay.
Ammu bhi…(x2)

6. Naalon se kaleja phat-ta hai (x2).
Ik dard sa dil mein uth-ta hai (x2).
Maa roti hai jaan khoti hai (x2).
Asghar na rahay.
Ammu bhi…(x2)

7. wo bayn Anees hon kaisay raqam (x2).
Karti thi Sakina jo pur gham (x2).
Waqt-e-aakhir us ke lab par (x2).
Naalay ye rahay.
Ammu bhi…(x2)

Ammu bhi gaye Baba bhi gaye (x2)

 

Check out all write-ups for Nadeem Sarwar:
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/nadeem-sarwar/

Check Also

Sad Shukr Mere Yaarab - Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab – Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab Sajday mein sar hai halq pe khanjar ki dhaar haiBanda ye …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.