Laasha jab Sibt-e-Payambar ka uthaaya hoga (x2).
Khuld mein chayn Muhammad ko na aaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar ka uthaaya hoga (x2).
1. Sar khulay lehad se tab Fatima nikli hogi (x2).
Zehr jodah ne jo Shabbar ko pilaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)
2. Kabr mein Hasan to us waqt hi utray hongay (x2).
Maa ne jab daaman-e-tatheer bichaaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)
3. Daastan Hasan ne apni jo sunaayi hogi (x2).
Maa ne ro ro ke kalejay se lagaaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)
4. Dil ke sab Hasan ne armaan nikaalay hongay (x2).
Sehra Qasim ko khayaaloan mein lagaaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)
5. Jo ke maadar ke janaazay pe na ghar se nikli (x2).
Kaisay beemaar unhain shaam mein laaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)
Laasha jab sibt-e-Payambar ka uthaaya hoga (x2).