Likhi Hai Shabbir Ki Fazilat, Kalam Ne Sir Ko Jhuka Jhuka Ke.
Main Is Qaseeday Ki Daad Paaunga, Sayyeda Ko Suna Suna Ke.
Sanaa-e-Shabbir Jab Hun Likhta, Main Pehlay Naad-e-Ali Hoon Padhta.
Zakhira Alfaaz Ka Na Jaane, Kahan Se Na Cheez Ko Hai Milta.
Ye Lafz Jibreel Meri Jaanib, Hai Bhej Deta Saja Saja Ke.
Ajeeb Aaamad Ka Silsila Hai, Ke Yun Shah-e-Mashriqain Aaaya.
Khuda Ke Ghar Main Ali Hain Aaye, Ali Ke Ghar Main Hussain Aaya.
Maafiyaan Paa Raha Hai Pitrus, Ab Is Ka Jhula Jhula Jhula Ke.
Haseen Aisa Hua Na hoga, Yehi Hai Kamsin Ali Ke Ghar Main.
Hussain Ik Hai Aur Ik Rahay Ga, Nahi Hai Koi Bhi Behr-o-Bar Main.
Nazar Lagay Na Jabhi To Zehra, Isay Hain Rakhti Chupa Chupa Ke.
Kabhi To Shabbir Ko Nabi Ne, Sawaar Kaandhoan Pe Khud Kiya Hai.
Kabhi Ye Sajday Main Pusht-e-Sarwar, Pe Khud Sawaar Aa Ke Ho Gaya Hai.
Rasool Ne Zindagi Guzari Hai, Naaz Is Ke Utha Utha Ke.
Ali Jo Mushkil Kusha Hai Sab Ka, Hussain Bhi To Hai Sab Ka Mohsin.
Hussainiyat Ke Lagao Naaray, Hussain Ke Sab Jalainge Dushman.
Ali Ke Munkir Ko Bhi Jalao, Ali Ke Naaray Laga Laga Ke.
Hai Dada Imran Ali Padar Hai, Yazeed Se Kyun Hussain Darta.
Hasan Hai Bhai Batool Maa Hai, Zameer Ka Sauda Kaisay Karta.
Nabi Ne Qaisar Isay Hai Paala, Zubaan Apni Chusa Chusa Ke.