Hum madh-e-Ali mein daar pe bhi lafzon ko rawaani detay hain.
Kat’ti hai zaban kat jaaye magar paigham zabaani detay hain.
1. Shahid hai ada-e-Mesum bhi hum hain woh Ali ke deewanay.
Jis pedh pe sooli chadhna ho us pedh ko paani detay hain.
Hum madh-e-Ali mein daar pe bhi lafzon ko rawaani detay hain
2. Islam gawaahi deta hai jab jab bhi zaroorat deen ko padi.
Ho khoon ya daulat Sarwar ke naana aur naani detay hain.
Hum madh-e-Ali mein daar pe bhi lafzon ko rawaani detay hain.
3. Peshani-e-Hurr par ye keh kar rumaal ko bandha Sarwar ne.
Jannat bhi fida ho jaayegi hum aisi nishani dete hain.
Hum madh-e-Ali…
4. Qurbaan huay jab ran mein Habib paigham diya dunya ko ajeeb.
Hum apni zaeefi ke badlay mazhab ko jawaani detay hain.
Hum madh-e-Ali…
5. Abbas ki turbat ke hi kareeb paani ne thehar kar batlaaya.
Mein behta hoon Abbas mujhe jab izn-e-rawani detay hain.
Hum madh-e-Ali…
6. Abbas ne paani chullu se darya ko pilaa kar batlaaya
Mutthi mein hai kausar hum khud hi daryaaon ko pani dete hain.
Hum madh-e-Ali…
7. Qaatil ko pilaya Haider ne lashkar ko pilaaya Sarwar ne.
Ye aisay gharanay walay hain dushman ko bhi paani detay hain.
Hum madh-e-Ali…
8. Haider ne duayain jab maangi Qudrat ne kaha aye mere Ali.
Abbas ki surat mein tum ko hum tera hi saani detay hain.
Hum madh-e-Ali…
9. Jab mein ne duayain maangi to Asghar ne kaha mat ghabrao.
Midhat ka sharaf is bachpan mein hum tum ko bhi Hani detay hain.
Hum madh-e-Ali…
Hum madh-e-Ali mein daar pe bhi lafzon ko rawaani detay hain.
Kat’ti hai zaban kat jaaye magar paigham zabaani detay hain.