Shabbir Keh Ke Ro (Noha) – Afzal Shah – 90’s

Shabbir Keh Ke Ro Diye Aansoo Rawaa’n Dawaa’n

Shabbir keh ke ro diye aansoo rawaa’n dawaa’n.
Aye laal teri aaj hai yeh aakhri azaan (x2).
Shabbir keh ke…

Akbar tumhari maut ka sadma sahoonga main (x2).
Royegi be kasi pe zamee’n aur aasmaa’n.
Shabbir keh ke…

Akbar ki maut uss dil-e-muztar se poochiye (x2).
Jis ka bharay jahaan main beta maray jawaa’n.
Shabbir keh ke…

Ghorhay dorhaaye jaayeinge phir teri laash par (x2).
Tasveer-e-Mustafa tera dushman hua jahaa’n.
Shabbir keh ke…

Nannhi si qabr khod ke Shabbir ro diye (x2)
Beta nahi rahega yeh bhi tera nishaa’n.
Shabbir keh ke…

Ghazi tere janay se meri jhuk gayi kamar (x2).
Darya se do awaaz main dhoondoon kahan kahan.
Shabbir keh ke…

Karb-o-bala se kufa-o-zindaan-e-shaam mein (x2).
Beemar-e-karbala teri manzil kahan kahan.
Shabbir keh ke…

Gulzaar-o-baagh-e-shah paye-e-Mehshar ujad gaya (x2).
Aansoo baha raha hai naizay pe baaghbaa’n.
Shabbir keh ke…

Aye laal teri aaj hai ye aakhri azaa’n (x2).
Shabbir keh ke…

Shabbir keh ke…

Check all the kalaams by Afzal Shah sahab:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/afzal-shah/

Check out more noha, salaam and marsiya writeups at http://www.nohayonline.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.