Abbas Abbas Abbas (A.S).
Beta hai tu Ali ka Zahra ki tu dua hai.
Shabbir tera aaqa Umm-ul-Baneen maa hai.
Har surat-o-chalan mein Haider se na juda hai.
Taa hashar tujh se qaayim dunya mein bas wafa hai.
Dil ki muradai’n Ghazi teray alam se paayai’n.
Roti hui jo maaei’n teray alam pe aayai’n.
Zahra ke dard-e-pehlu ka deti hain waasta.
Fizza ki kaneezi mein in ka bhi naam aayay.
Abbas Abbas Abbas (x3)
Tere alam ko thamay har shakhs keh raha hai.
Mazloom-e-Karbala ka Zainab ka wasta hai.
Pardesi koi aisa pardes mein na ujhray.
Sadqay mein us ke jis ka ghar baar lut gaya hai.
Haaye. Taqdeer ke sataaye tere dar pe sar jhukaae’n.
Ashkoa’n ki iltija hum Ghazi tujhay sunaae’n.
Bemaar saaribaa’n ke zakhmoa’n ka waasta hai
Jitnay bhi khasta dil hain Mola shifa wo paae’n.
Har laash par Ali ko kartay thay yaad Sarwar.
Lekin uthaanay aaye jis waqt laash-e-Akbar.
Haey baba ki be kasi par rota tha nojawaa’n bhi.
Shabbir ne kaha jo barchi pe haath rakh kar.
Haaye Abbas.
Khanjar galay pe jis dam bhai ke chal raha tha.
Sattar kadam se manzar Zainab ne khud ye dekha.
Haaye jab shimr maarta tha gardan pe sheh ke khanjar.
Har zarb par tadap kar kehti thi bint-e-Zehra.
Abbas Abbas
Haaye Sarwar ki laadli ka ik tu hi tha sahara.
Paani kisi se us ne maanga nahi dubara.
Haaye jab koi maarta tha rukhsaar par tamanchay.
Baba se bhi ziyada us ne tujhay pukaara.
Abbas Abbas Abbas (x3)
Haaye Abbas.
Us waqt jab ke Zainab darbaar mein gayi thi.
Qaari namaziyoa’n se mehfil saji hui thi.
Haaye zaalim ye poochta tha Ghazi tera kahan hai.
Baaloa’n se moo chupayay Zainab ye keh rahi thi.
Abbas… (x3)
Hai jitney bhi ashk Mola kirtaas par giray hain.
Masooma ki kasam ye Ghazi faqat teray hain.
Wo kuch raqam karoon main jo na raqam hua hai.
Alfaaz wo ataa kar Yawar se jo parhay hain.
Check out other Nohas from Shahid Hussain Baltistani:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/shahid-baltistani/
Check out Shahid Hussain Baltistani’s official YouTube channel:
https://www.youtube.com/shahidbaltistaniofficial