Aa Dekh Mere Ghazi – Nadeem Sarwar 1993-94

Aa dekh mere Ghazi ooncha hai alam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.

Zainab ki dua ban kar ik waqt wo aayega.
Har ghar pe saja hoga Abbas alam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa Dekh Mere Ghazi …

Aa jaati hain Zehra bhi Zainab bhi ziyarat ko.
Jab aath muharram ko uthta hai alam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Taboot jab uthta hai Shabbir ka aye Ghazi.
Taboot ke aagay bhi chalta hai alam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Wo kaun se sadmay thay Sheh toot gaye jis se.
Ik dard tha Zainab ka aur doosra gham tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Parcham ka pharera tha ya aas thi Zainab ki.
Zainab ke kalejay se gham kaisay ho kam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Bazaar mein zindan mein darbaar mein har lamha.
Zainab ki to saanson pe tha naam raqam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Jab beh gaya sab paani tab aas teri tooti.
Tha seenay ke andar ya mashkeezay mein dam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Awaaz teri Sarwar Shabbir se waabasta.
Abbas se waabasta Rehaan qalam tera.
Dil seenay mein jab tak hai bhoolega na gham tera.
Aa dekh mere… Aa dekh mere…

Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/

Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar

Check Also

Sad Shukr Mere Yaarab - Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab – Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab Sajday mein sar hai halq pe khanjar ki dhaar haiBanda ye …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.