Aa gayin Fatima, Aa gayin Fatima (x2)
Aa gayin Fatima, Aa gayin Fatima (x2)
Jibra’eel-e-Ameen de rahay hain sada.
Aa gayin… (x2).
Aaj khush hain bohat ashraf-ul-Ambiya (SAWW).
Aa gayin… (x2).
1. (Arsh se farsh tak noor ka hai samaa.
Aayin aalam mein giyaara imamoan ki maa (x2)).
Duur aalam ka saara andhera hua.
Aa gayin… (x2)
2. (Mustafa aur Hasnain aur Murtaza.
Hukm-e-Khaaliq se jab ho gaye aik jaan (x2)).
Phir durodon ki baarish mein zair-e-kisa.
Aa gayin… (x2)
3. (Jis ke dar se malak rizq paate rahay.
Aur ban ban ke khayyaat aate rahay (x2)).
Bheek leni hai ja jaldi kashkol la.
Aa gayin… (x2)
4. (Main gunahgar kya meri auqaat kya.
Aik aansu ke badlay sila yeh mila (x2)).
Khuld se khud mere haq mein karnay dua.
Aa gayin… (x2)
5. (Main Hasan mushkilon mein gira jab kabhi.
Main ne darbaar-e-Zahra mein faryaad ki (x2)).
Khatm honay na paayi thi meri dua.
Aa gayin… (x2)
For more manqabats, nohas etc from Mir Hasan Mir check out http://www.abulhasanlakhani.com/tag/mir-hasan-mir/
Check out Mir Hasan Mir’s YouTube channel: www.youtube.com/MirHasanMir