Aati Hai Gardoon Se
Aati hai gardoon se ye payham sada.
Qatl huay sajde mein Sher-e-Khuda.
Khana-e-haq may ye ghazab ho gaya. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Gham se hai Zainab nidhaal. Khol diye sar ke baal.
Kehti hai ye pur malaal. Dekho to baba kahan.
Dete hain Jibreel ye kaisi nida. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Saath paday jalwagar. Kehti hai sar peet kar.
Phat ta hai mera jigar. Koi to laaye khabar.
Ghar mein Khuda ke ye sitam kya hua. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Dekho to Hasnain jao. Baba ko ghar may to lao.
Kaisa laga sar pe ghao. Mujh ko Khudara batao.
Poocho to jarraah se hogi shifa. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Nashtar-e-gham dil pa khaye. Daud kar Hasnain aaye.
Dekha ajab haal haaye. Khoon mein hain baba nahaaye.
Farsh se ta arsh hai mehshar bapa. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Haaye qayamat hui (x2). Taygh sitam ki chali.
Baara Ali-e-wali. Girya-e-rooh-e-Nabi.
Kaisi layeen ne ye ki jor-o-jafa. Qatl huay…
Aati hai gardoon…
Aye mere zakhmi Imam (x2). Tum pa durood-o-salaam.
Khoob ki tableeg aam. De diya Qaatil ko jaam.
Hoga Anees aisa koi peshwaa. Qatl huay…
aati hai gardoon…
Aati hai gardoon se ye payham sada.
Aati hai gardoon se ye payham sada.
Check out other Noha from Ali Zia Rizvi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/ali-zia-rizvi/
Anjuman-e-Ghamkhwaran-e-Abbas’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/channel/UC08jwm0R5_cMXCXrGQEZNCw