Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba
Baba mere baba (x2).
Shah ki laadli jab qaidi-e-zindaan hui.
Royi ghabrayi bohat aur pareshan hui.
Qaid khanay ki ghutan maut ka samaan hui.
Jaan lagta tha ke maasoom ki be jaan hui.
Laash Shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi.
Qaid khanay se jo bachi ki sada aati thi.
Ab mujhe koi Sakina nahi kehta baba (x2).
Qaidi kehta hai koi (x2). Koi yateema baba.
Ab mujhe koi Sakina… (x2)
1. Main bayaa kaisay karoon apni museebat tum se.
Kya karoon apnay tamaachon ki shikaayat tum se.
Sunti hoon daadi ne khaya tha tamaacha baba.
Ab mujhe koi…(x2)
2. Neel rukhsaaron pe beenaayi bhi jis ki kam ho.
Umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho.
Aap ne dekhi hai kya (x2). Aisi zayeefa baba.
Ab mujhe koi…(x2)
3. Khoon-e-be sheer se andaza kiya tha main ne.
Aap ka chehra to pehchaan liya tha main ne.
Aap pehchaano ge kaisay mera chehra baba.
Ab mujhe koi…(x2)
4. Aap thay duur to main saaray sitam sehti rahi.
Ro padi kufay ke darbaar mein main seh na saki.
Aap ke saamnay jab (x2). Shimr ne maara baba.
Ab mujhe koi…(x2)
5. Wo to beemar thi mar jaati safar mein aa ke.
Dafn kartay usay bazaar mein bhayya kaisay.
Ye to acha hua aayi nahi Sughra baba.
Ab mujhe koi…(x2)
6. Meri aankhon se bahay jaatay thay aansoo us dam.
Haath bhi main ne lagaya nahi daadi ki kasam.
Dena chaha tha mujhe (x2). Logoan ne sadqa baba.
Ab mujhe koi…(x2)
7. Us ghadi dhoond rahi thi main chacha jaan ka sar.
Kaisay batlaaon ke kya guzri teri beti par.
Hai mujh ko zaalim ne kaneezi mein jo maanga baba.
Ab mujhe koi…(x2)
8. Bayn ye kartay hi khaamosh hui wo Akbar.
Aaj to jaayainge saath apnay mujhe bhi le kar.
Aap ko meri kasam kijiye waada baba.
Ab mujhe koi Sakina nahi kehta baba (x2).
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir