Abd kahay maalik bhi jis ko
Abd kahay maalik bhi jis ko kaash wo banda main hi hota. (x2)
Jis ko kahain deewana-e-Mola kaash wo daana main hi hota.
Dhoondoon main kufw-e-Janab-e-Zahra haq ne jisay mamoor kiya. (x2)
Auj pa hota mera muqaddar kaash woh taara main hi hota.
Kitne aqaabir is hasrat mein Ahmed-o-Haider se shaaqi thay. (x2)
Jis ke liye mun kunto kaha tha kaash wo Mola main hi hota.
Ghar mein Khuda ke dast-e-Khuda se paayi aik saayil ne anghooti. (x2)
Main ho jaata rashk-e-sikandar kaash wo mangta main hi hota.
Uth ja hukm se mere keh kar jis ko jilaya Haider ne.
Uth ja mere hukm se keh kar jis ko jilaya Haider ne.
Main na hua jo Buzar-o-Kambar kaash woh murda main hi hota. (x2)
Aal-e-Nabi ke saaray dushman dozakh main haankay jaayenge. (x2)
Jis se unhain haanka jaayega kaash woh danda main hi hota.
Apnay tayin main Sibt-e-Jafar sayyad bhi hoon aur momin bhi. (x2)
Apna kahain Mola bhi jis ko kaash woh shia main hi hota.