Asghar ko lay ke godh mein kehti hai karbala.
Ye wo Ali hai jisko kabhi ghar nahi mila (x2).
1. Chheh maah ke ghareeb musafir ko saump ke.
Kehne lagay Hussain ye qabr-e-sagheer se.
Rakhna zara khayal mere tishnakaam ka.
Ye wo Ali hai jisko…
2. Maadar ye bain karti thi dil mein hai ye kasak.
Sughra tumhari godh se aaghosh-e-qabr tak.
Asghar ko maut ne kahin ruknay nahi diya.
Ye wo Ali hai jisko…
3. Maa sochti thi dhalta hai din ho rahi hai shaam.
Jhoole mein laut aayega shayad wo tishnakaam.
Lekin ghazab hua ke wo jhoola bhi jal gaya.
Ye wo Ali hai jisko…
4. Galiyon mein shehr-e-kufa ki bazaar-e-shaam mein.
Shireen ke ghar kabhi kabhi darbar-e-shaam mein.
Marnay ke baad bhi Ali Asghar safar mein tha.
Ye wo Ali hai jisko…
5. Nannay se sar ko yaas se bas taktay rehtay thay.
Phir khoon rokay Sayyad-e-Sajjad kehte thay.
Main wo Ali hoon jis ka bhara ghar ujad gaya.
Ye wo Ali hai jisko…
6. Jaanay laga watan jo ghareebon ka kaarwaan.
Mud mud ke kehti jaati thi ek khaali godh maa.
Rakhiyo sambhaal kar isay aye arz-e-Nainawa.
Ye wo Ali hai jisko…
7. Dar hai ye phir se koi sina par utha na le.
Lipta hua hai ab bhi woh seenay se baap ke.
Ro ro ke keh rahi hai Takallum ye Karbala.
Ye wo Ali hai jisko…
Asghar Ko Lay