Aye chaand karbala ke
Aye chaand karbala ke tu ne to dekhay hongay.
Utray thay is zameen par arsh-e-bareen ke taaray.
Aye chaand karbala ke.
1. Aye chaand jalwa gar hai Hashim ka chaand yaa par.
Khairaat roshni ki le leejiyo yahan se.
Aye chaand karbala ke …
2. Aye chaand is zameen par rakhiyo hamesha thandak.
Sotay jo hain yahan par Zehra ke hain ye pyaaray.
Aye chaand…
3. Tasneem-o-sal sabeel-o-kausar ke hain ye maalik.
Maaray gayay jo pyasay is nehar ke kanaaray.
Aye chaand…
4. Hurr aur Habib jaisay jaanbaaz aur ahibba.
Maaray gayay yahin par ansaar Shaah-e-deen ke.
Aye chaand…
5. Maaray gayay yahin par be dardi-o-sitam se.
Muslim ke donoan pyaray Zainab ke donoan betay.
Aye chaand…
6. Pamaal ho rahi thi Qasim ki laash run mein.
Abbas aur Sarwar chuntay thay un ke tukday.
Aye chaand…
7. Baazu katay yahin par Abbas-e-bawafa ke.
Izn-e-waga na paaya paani bhi laa na paayay.
Aye chaand…
8. Is sarzameen pa guzra Sarwar pa ye bhi sadma.
Seenay pa khaayi barchi humshakl-e-Mustafa ne.
Aye chaand…
9. Paani pilaanay laayay ik meh laqa ko Sarwar.
Kiya zibha hurmala ne teer-e-sitam laga ke.
Aye chaand…
10. Gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka.
Donoan tadap tadap kar pyasay jahan se guzray.
Aye chaand…
11. Is bun mein aik bachi Baba ko dhoondti thi.
Bikhray huay paday thay jab sar bureeda laashay.
12. Phir ye bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi.
Seenay pa so rahi thi be sar padar se liptay.
Aye chaand…
13. Baazu bandhay yahin par pehlay pahal haram ke.
Is sarzameen se niklay Sajjad sar jhukayay.
Aye chaand…
14. Shehzada-e-jinaah hi maalik hai Karbala ka.
Kis ki majaal aayay jab tak na woh bulaayay.
15. Pohnchay hain Karbala mein jo log Sibt-e-Jafar.
Aye kaash phir muqaddar un ko ye din dikhaaye.
Aye chaand karbala ke tu ne to dekhay hongay.
Utray thay is zameen par arsh-e-bareen ke taaray.
For more kalaams from Shaheed Sibt-e-Jafar Zaidi, check out this link.
thank you for making this it was hard to find anything like this i am reciting it in a noha khani