Aye Raat Na Dhalna – Nasir Zaidi 1990

Aye Raat Na Dhalna

Aye raat na dhalna ke ujadh jaayegi Zainab.
bhai se dam-e-subh bichadh jaayegi Zainab.
Aye raat na dhalna ke ujadh jaayegi Zainab.

1. Sonay de Sakina ko ke phir so na sakay gi.
Rona bhi jo chahay gi to phir ro na sakay gi.
Asghar se mulaqaat to phir ho na sakay gi.

Aye raat…

2. Ghabraye huay laal hain sehmi hui maayain.
Jee bhar ke main de loon Ali Akbar ko duayein.
Lena hai abhi Aun-o-Muhaamad ki balaayein.

Aye raat…

3. Aye raat bikhar ja tere bas mein ho jahan tak.
Mit jaayenge kal aal-e-payambar ke nishan tak.
Baaqi hai yeh manzar Ali Akbar ki azaan tak.

Aye raat…

4. Har chund ke bachoan ki abhi pyaas hai baaqi.
Kuch aankh mein hasrat hai to kuch aas hai baaqi.
Lekin mera bhai mera Abbas hai baaqi.

Aye raat…

5. Baaqi hai abhi aal-e-Muhammad ka safeena.
Beti ke sulanay ko hai Shabbir ka seena.
Jhoola Ali Asghar ka jhulaati hai Sakina.

Aye raat…

6. kal kaun sunega ye meri aah-o-buka bhi.
Hoga tah-e-khanjar meray bhai ka gala bhi.
Khaima to kuja sar pe na hogi ye rida bhi.

Aye raat…

7. Aye raat ghadi bhar ko tu rehnay de sukoon mein.
Ghir jaayenge nasir mere aada ki safoan mein.
Yeh chaand se chehre to naha jaayenge khoon mein.

Aye raat…

Check out other soz o salaam from Syed Nasir Hussain Zaidi at:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/nasir-hussain-zaidi-soz-o-salaam/

Check out Nasir Hussain Zaidi’s YouTube channel at:
https://www.youtube.com/channel/UCSYEYOCt_VRcm98swdk0gvw

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.