Bano Kahan Talash Karay – Nasir Zaidi 1990-91

Bano Kahan Talash Karay

Bano kahan talash karay apnay laal ko (x2)
Jungle mein maar daala hai Zehra ki aal ko.
Bano kahan talash…

1. Zainab ke saath roti hain sab mil ke bibiaan (x2).
Jab dekhti thi roz woh waqt-e-zawaal ko.
Bano kahan talash karay…

2. Shabbir dil ko thaam ke ghash kha ke gir paday (x2).
Dekha jo khoon mein gark Nabi ke jamaal ko…
Bano kahan talash karay…

3. Shabbir mere pass hai sadqay ko bas yehi (x2).
Jhoolay se laa ke de diya Bano ne laal ko.
Bano kahan talash…

4. Shabbir laa rahay hain maidaan se dekhiye (x2).
Apne zayeef kaandhon pa athara saal ko.
Bano kahan talash…

5. Bazaar-e-Shaam mein wo aseeron ka kaafila (x2).
Abid na bhool paaye kabhi is khayaal ko.
Bano kahan talash…

6. Aisa to zulm-o-jaur kisi par hua nahin (x2).
Barbaad jis tarhan kiya Zehra ki aal ko.
Bano kahan talash…

7. Laila duaayein karti rahi baad-e-karbala (x2).
Ya rab juda na karna kisi maa se laal ko.
Bano kahan talash…

8. Shabbir apnay rozay pe bulwayainge zaroor (x2).
Tauqeer tu nikal de dil se malaal ko.
Bano kahan talash…

Check out other soz o salaam from Syed Nasir Hussain Zaidi at:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/nasir-hussain-zaidi-soz-o-salaam/

Check out Nasir Hussain Zaidi’s YouTube channel at:
https://www.youtube.com/channel/UCSYEYOCt_VRcm98swdk0gvw

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.