Batool Ro Parin Fizza Ko Ye Batatay Huay
Haaye Haaye Haaye (x4)
Haaye,
Jo dard Fatima ne Ali se chupaaye hain.
Tanhaayi mein kaneez ko apni sunaaye hain.
Haaye Haaye
Batool ro parin Fizza ko ye batatay huay.
Batool ro parin Fizza ko ye batatay huay (x2).
Hasan ne dekha hai mujh ko (x2)
Tamaachay khatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Na jaanay kya kiya zaalim ne Fatima pe sitam.
Zaeef ho gayi beti Rasool ki ik dam.
Sanad ke tukroan ko darbaar mein uthatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Main aaj shehr e Madina ko hee mita doongi.
Agar Ali ko na chora to baddua doongi.
Kahan Batool ne sar se rida hatatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Jo mujh pe guzri hai mujh se na ho sakay gi bayaan.
Wo dekho ab bhi hain dewaar par lahu ke nishaan.
Main dekhti hoon inhain roz aatay jaatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Bataaya sab ko jo mafhoom hai wilayat ka.
Laboan pe shikwa na bint e Rasool ki aaya.
Ali Ali hi kiya taaziyaanay khatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Wo mujh se chup ke meri be kasi pe rota hai.
Khayal rakhna ye naazuk mizaaj beta hai.
Meray janazay se Shabbir ko hatatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Abul Hasan ko tha patkay se main ne thaama hua.
Magar laeen ne durray se yun mujhay maara.
Zameen pe gir gayi Fizza main ladh khadhaatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Ba roz e hashr main Mehdi ko ye bataaongi.
Tamaam pasliyaan tooti hain is liye meri.
Laeen ne maara tha thokar se aatay jaatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Mera fareeza nibhaayegi laadli meri.
Ghiray ga sholoan mein jis waqt aik aur Ali.
Chalay gi aag pe Zainab usay bachaatay huay.
Batool ro parin… (x2)
Padar ki qabr pe Akbar wo ro ke kehti thi.
Hifaazat aap ne mujh ko Ali ki soanpee thi.
Tamaachay main ne hain khaaye unhain bachaatay huay.
Batool ro parin Fizza ko ye batatay huay (x2)
Ye batatay huay (x2)
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir