Bekason ke madadgaar
Fishaar-e-qabr ko aisa nidhaal kar doonga (x2).
Main mushkilon ki tabiyyat bahaal kar doonga.
Ali ke naam ne jurrat to di ke zer-e-lahad.
Main khud farishton pe ulta sawal kar doonga.
Bekason ke madadgaar Mola Ali (x2).
Juz tere koi apna sahara nahi.
Tera dar chorh kar jaayein aakhir kahan.
Gair ka dar jabeen ko gawara nahi.
1. Jo Ali ka nahi woh Nabi ka nahi.
Jo Nabi ka nahi woh Khuda ka nahi.
Aye musalmaan ashaab se pooch le.
Kya ye khum mein Nabi ne pukara nahi.
2. Aaaye kaabay mein jis dum Ali ke kadam.
Moo ke bal gir paday but ye kehtay huay.
Aaiyye aaiyye janasheen-e-Nabi.
Ye tumhara hi ghar hai hamara nahi.
3. Woh to kamzarf hai jo tujhe chorh de.
Warna Mola Ali teri tazeem ko.
Jo palat kar na aayay woh suraj nahi.
Jo na chaukhat ko choomay woh taara nahi.
Bekason ke…
Juz tere…
4. Pehlay tareekh khyber ki padh lijiye.
Phir koi aakhri faisla dijiye.
Ya ye kehna Payambar bhi hain bid’ati.
Ya ye kehna Ali ko pukaara nahi.
5. Kull-e-Imaan tu kull-e-Islaam tu.
Deen ki rag rag mein hai sirf tera lahu.
Jang-e-khyber ho khandaq ke badr-o-ohad.
Kaun si jang mein kufr haara nahi.
6. Janay khandaq mein kaisay musalmaan thay.
Taana-e-kufr chup chaap suntay rahay.
Sab ke pehlu mein talwaar maujood thi.
Amr ka sar kisi ne utaara nahi.
7. Ya to rozay pe bulwa lo Shah-e-Najaf.
Ya ho baali pe mujh ko yahan deedani.
Aa rahi hai har ik saans se ye sada.
Ab judaayi Reza ko gawara nahi.
Bekason ke madadgaar Mola Ali.
Juz tere koi apna sahara nahi.
Tera dar chorh kar jaayein aakhir kahan.
Gair ka dar jabeen ko gawara nahi.
For all other kalaams from Ustad Pyare Khan click here:
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/ustad-pyare-khan/