Bhai bhai pukarti rahi main
Amma ruka na shimr-e-layeen meray bayn se.
Sattar kadam thi duur ye Zainab Hussain se.
Bhai bhai pukarti rahi main phir bhi khanjar nahi ruka amma (x2)
Shimr ne ki phir aisi gustaakhi mujhse dekha nahi gaya amma.
Bhai bhai pukarti rahi main phir bhi khanjar nahi ruka amma (x2).
Tum jo zulfai’n sanwaara karti thi un hi zulfon mein haath tha uska.
Jahan bosay diye thay Naana ne usi gardan se khoo’n tapakta tha.
Sar-e-Shabbir yun uthaaye huay shimr Khaimay tak aa gaya amma.
Bhai bhai pukarti…
Dekh kar mujh ko bayn kartay huay Shimr har baar muskurata raha.
Meri nazron ke saamnay zaalim waar gin kar churi chalaata raha.
Tera zarbai’n thi kund khanjar tha aur Shabbir ka gala amma.
Bhai bhai pukarti…
Charon jaanib se gheir rakha tha tere noor-e-nazar ko lashkar ne.
Teer barsaata tha koi us par koi pathar se maarta tha usay.
Rayt zakhmo’n pe wo giraata raha jis ko pathar nahi mila amma.
Bhai bhai pukarti…
Taygh jis dam koi chali us par haaye Abbas keh ke roya tha.
Teer peshani pe laga jis dam haye Asghar zaban pe aaya tha.
Haaye Akbar pukara Bhayya ne jab bhi naiza koi laga amma.
Bhai bhai pukarti…
Jab chalaaya tha shimr ne khanjar maine aankhon se apni dekha tha
Haath apnay utha ke pehlu se tu ne sookhay galay pe rakha tha.
Ungliyaan zakhmi ho gayi hongi haath mujhse to na chupa amma.
Bhai bhai pukarti…
Kaisi nafrat thi un ke seeno’n mein ye bhi socha na shaam waalon ne.
Deen-e-Islam mein zabeeha tak zibha pyaasay nahi kiye jaatay.
Teen din se Hussain pyaasa hai ye bhi socha nahi gaya amma.
Bhai bhai pukarti…
Maa ye Zainab se kehti thi Akbar meri aaghosh mein tha sar uska.
Maine gardan ko kat te dekha tha main ne saanson ko ruktay dekha tha.
Haaye aakhri baar zer-e-khanjar hi main ne Shabbir se suna amma.
Bhai bhai pukarti…
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir