Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta Abu Talib ka beta Abu Talib ka beta (x2). Fazilat ka meenara Abu Talib ka beta (x2). Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta (x2). Ali murdoan ko jilaaye Ali suraj paltaaye (x2). Karishmay dekh ke jis ke zamana dhoka khaaye. Nuseri samajh na …
Read More »Suraj Ye Keh Ke Deen Ka – Mir Hasan Mir
Suraj ye keh ke deen ka ubhra ghadeer mein. Takmeel aaj paayega kalma ghadeer mein. Elaan-e-Jibraeel ye goonja ghadeer mein. Maula banaaye jaatay hain Maula ghadeer mein. Bazoo buland kar ke dikhatay rahay Rasool. (x2) Andhoan ne phir bhi kuch nahi dekha ghadeer mein. (x2) Sadiyoan ka faasla hai mere un ke darmiyaan. (x2) Lekin main jaanta hoon ke …
Read More »Raza Ka Jis Ko Bhi Jaada – Salman Jaffer
Raza ka jis ko bhi jaada naseeb hota hai. (x2) Usay talab se ziyada naseeb hota hai. Raza ka jis ko bhi… 1- Dua karo woh bulaayain phir apnay rozay par. (x2) Wahin se ye bhi iraada naseeb hota hai. 2- Milay jo hubb-e-Ali wus’at-e-nigaah ke saath. (x2) To us ko dil bhi kushaada naseeb hota …
Read More »Qum Ki Pehchaan – Salman Jaffer
Qum ki pehchaan Masooma-e-Qum. (x2) Aisi burhaan Masooma-e-Qum. Bibi Zehra ka inhain naam mila. (x2) Aisi zeeshan Masooma-e-Qum. Bibi Zainab ki misl bhai par. (x2) Dil se qurban Masooma-e-Qum. Aisay ghar mein hui hain khalq jahaa’n. Utra Qura’an Masooma-e-Qum. Jis tarha’n ronak-e-Mashad hain Raza. (x2) Qum ki hain shaan Masooma-e-Qum. …
Read More »Naam Shakl Aur Seerat – Sibt-e-Jafar
Naam shakl aur seerat sab hi Murtaza ki hai. Noor kibriya ka hai khaak hai na khaaki hai. Naam hai Ali in ka sab pukartay hain Reza. (x2) Baat in ki jo bhi hai saari Mustafa ki hai. (x2) 1. Tujh ko aal-o-Qura’an ki maarifat nahi mamoon. (x2) Do jaha’n ki har …
Read More »Mashhad Mein – Mir Hasan Mir
Ye chaukhat choom kar ki hai dua har baar mashhad mein. (x2) Ilahi theher jaaye waqt ki raftaar mashhad mein. Ye chaukhat choom kar ki hai dua har baar mashad mein. 1. Janazay to bohot aatay huay dekhe magar maine. (x2) Nahi dekhay kahin bhi maut ke aasaar mashad mein. …
Read More »Saaqi-e-Kausar Ki Sana – Mir Hasan Mir
Ya Ali. Ya Ali. (x2) Saahib-e-Zulfiqar Al-Madaday. (x2) Kaam mushkil hai ba imdaad-E-Khuda kardunga. Aaj main ishq ka tufaan bapa kardunga. Karne do mujhe saaqi-e-Kausar ki sana. (x2) 1 – Raaz Allah ki tawheed hai hum raaz Ali. Kibriyaee ki daleelon ka hai aaghaz Ali. Dil-e-be-dil se jo nikli hai …
Read More »Maula Se Baatain Karain – Sibt-e-Jafar
Aaiye apnay maula se baatain karain. Aaj mauqa bhi hai aur fursat bhi hai. Main mukhatib jo hun woh bhi maujood hain. Khud kalami nahi hai sama’at bhi hai. Aaiye apnay maula se baatein karain. 1. Mera Imaan hai mera aelaan hai. Aap gayab nahi balke maujood hain. Aap waaqif bhi hain aur qaadir bhi hain. …
Read More »Mola Ab Aa Bhi Jaayain – Sibt-e-Jafar
Mola ab aa bhi jaayain kab se bula rahay hain. Jaur-o-sitam jahaa’n ke badhtay hi ja rahay hain. Dushman jo aap ke thay hum ko sata rahay hain. Mola ab aa bhi jaayain… Ab hadh se badh chukay hain fisk-o-fujoor-o-zulmat. Har gaam ho rahi hai tauheen-e-Aadmiyyat. Aqdaar ke janazay dafnaye ja …
Read More »Abd Kahay Maalik Bhi Jis Ko – Sibt-e-Jafar
Abd kahay maalik bhi jis ko Abd kahay maalik bhi jis ko kaash wo banda main hi hota. (x2)Jis ko kahain deewana-e-Mola kaash wo daana main hi hota. Dhoondoon main kufw-e-Janab-e-Zahra haq ne jisay mamoor kiya. (x2)Auj pa hota mera muqaddar kaash woh taara main hi hota. Kitne aqaabir is hasrat mein Ahmed-o-Haider se …
Read More »