Chahta Hai Jee Yehi (Salaam) – Syed Abrar Hussain 1980s

Chahta hai jee yehi aye noor e yazdaani Hussain

Chahta hai jee yehi aye noor e yazdaani Hussain
Umr bhar karta rahoon teri sana khaani Hussain (x2)

Chahta hai jee…

Azmat e kaaba bhi hai ab us ki azmat par nisaar (x2)
Tu ne kal jis khaak par rakhi thi peshaani Hussain
Chahta hai jee…

Kaisay mumkin tha ke harf aata koi Islam par
Kar rahay thay khud shariyyat ki nigehbaani Hussain
Chahta hai jee…

Har taraf se zulmaton ne ghair rakha tha magar (x2)
Tu ne kam honay na di imaa’n ki taabani Hussain
Chahta hai jee yehi…

Karbala ki khaak par jis ki bina rakhi gayi
Us nayi tehzeeb e insani ke hain baani Hussain
Chahta hai jee…

Dekh le dunya amal Quran par karta hai kaun
Maangtay thay dushmano se is liye paani Hussain
Chahta hai jee…

Chaltay chaltay yak ba yak qaatil ka khanjar ruk gaya (x2)
Padh rahay thay zer e lab aayat e Qurani Hussain
Chahta hai jee…

Jal raha tha aag mein khaimo ki jab Zainab ka dil
Dekhti thi teri jaanib ghar ke veerani Hussain (x2)
Chahta hai jee…

Hain yehi asbab aye Mojiz sukoon e zindagi
Majlis o matam mahafil marsiya khwaani Hussain
Chahta hai jee…

Umr bhar karta rahoon teri sana khwaani Hussain
Chahta hai jee yehi

All soz o salaam by Syed Abrar Hussain Fatehpuri
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/syed-abrar-hussain/

Another beautiful recitation of this kalaam by Syed Izhar Hussain Fatehpuri
https://www.youtube.com/watch?v=3HnMIuPPCGY

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.