Din dhal raha hai pyasi Sakina udaas hai (x2).
Mashk-o-Alam ki ab bhi yateemon ko aas hai.
1. Dum ghut raha hai laut ke aa jao ab chacha.
Asghar ko teen roz se paani nahi mila.
Bachay sisak rahay hain kayi din ki pyaas hai (x2).
2. Rahwaar se Sakina ne ro ro ke ye kaha.
Rakhna khayal dasht mein baba Hussain ka.
Is dasht-e-karbala mein yehi meri aas hai (x2).
Din dhal raha…
3. Ye raat ye andhera ye Zehra ki betiyaan.
Maqtal se ik yateema ki aati hai siskiyaan.
Kaano se khoon behta hai chehray pe yaas hai (x2).
Din dhal raha…
4. Ye waaris-e-Rasool hai tujh ko khabar nahi.
Khanjar se qatl jis ko tu karta hai aye layeen.
Dilband-e-Fatima hai ye haq ki asaas hai (x2)
Din dhal raha…
5. Khoo khaar ban mein shaam-e-gareeba bhi aa gayi.
Dil mein tamam shab ye sada goonjti rahi.
Baba tumhari laadli beti udaas hai (x2).
Din dhal raha…
6. Aao mohib namaz-e-mawaddat karain ada.
Imaan ki daleel hai ye gham Hussain ka.
Rota hai jo Hussain pe woh haq shanaas hai (x2).
Din dhal raha…
Mashq-o-Alam ki ab bhi yateemon ko aas hai.