Faslon Ko Takalluf – Qari Waheed Zafar Qasmi

Faslon Ko Takalluf

Faslon ko takalluf hai hum se agar.
Hum bhi be bas nahin be sahara nahi.
Khud unhi ko pukarenge hum duur se.
Raaste mein agar paaon thak jaayenge.

Hum Madinay mein tanha nikal jaayenge.
Aur galiyoan mein kasdan bhatak jaayenge.

Hum wahan ja ke wapas nahin aayenge.
Dhoondte dhoondte log thak jaayenge.

Jaise hi sabz Gumbad nazar aayega.
Bandagi ka kareena badal jaayega.

Sar jhukaane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkoan se sajday tapak jaayenge.

Naam-e-Aaqa jahan bhi liya jaayega.
Zikr un ka jahan bhi kiya jaayega.

Noor hi noor seenoan mein bhar jaayega.
Saari mehfil mein jalway lapak jaayenge.

Aye Madinay ke zaayir Khuda ke liye.
Dastaan-e-safar mujh ko yoon mat suna.

Baat badh jaayegi dil tadap jaayega.
Meray mohtat aansoo chalak jaayenge.

Un ki chashm-e-karam ko hai is ki khabar.
Kis musafir ko hai kitna shauk-e-safar.

Hum ko Iqbal jab bhi ijaazat mili.
Hum bhi Aaqa ke darbar tak jaayenge.

Faslon ko takalluf hai hum se agar.
Hum bhi be bas nahin be sahara nahi.
Khud unhi ko pukarenge hum duur se.
Raaste mein agar paaon thak jaayenge .

Check out other Naat Sharifs by Qari Waheed Zafar Qasmi Sahab:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/naat-e-rasool/qari-waheed-zafar-qasmi/

Some more information about the reciter:
https://en.wikipedia.org/wiki/Waheed_Zafar_Qasmi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.