Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta
Abu Talib ka beta Abu Talib ka beta (x2).
Fazilat ka meenara Abu Talib ka beta (x2).
Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta (x2).
Ali murdoan ko jilaaye Ali suraj paltaaye (x2).
Karishmay dekh ke jis ke zamana dhoka khaaye.
Nuseri samajh na paaye.
Khuda hai ya hai banda Abu Talib ka beta (x2).
Ghadeer-e-khum ka doolha…
Nasab kuch aisa paaya Nabi ne beti dedi (x2).
Shab-e-hijrat jo soya Khuda ne marzi de di (x2).
Sharaf ka arsh-e-moallah Abu Talib ka beta (x2).
Jo in se bugz rakhay ga badi mushkil se maray ga (x2).
Yahan bhi haath malay ga wahan bhi haath malay ga (x2).
Hai bakhsish ka darwaza Abu Talib ka beta (x2).
Usay kehtay ho kaafir Payambar ka jo chacha hai (x2).
Ae farzi baap ke betoan woh sab kuch dekh raha hai (x2).
Hai ab bhi gaib main betha Abu Talib ka beta (x2).
Mera imaan Ali hai meri pehchaan Ali hai (x2).
Zamanay waloan sun lo mera sultan Ali hai (x2).
Shehanshahi ka idara Abu Talib ka beta (x2).
Hui jab in ki wiladat butoan ki aayi shamat (x2).
Muqaddar deen ka jaaga mili kaabay ko taharat (x2).
Wiqaar-e-Khana-e-Kaaba Abu Talib ka beta (x2).
Mila jab maal-e-ghaneemat ikhatta ho gayi ummat (x2).
Magar jab deen-e-Nabi ko padhi hai khoon ki zaroorat (x2).
Nikal kar saamnay aaya Abu Talib ka beta (x2).
Woh nikla khaima-e-haq se bani hashim ka jiyaala (x2).
Batati hai ye jalalat bitha do kitna hi pehra (x2).
Utha le jaayega darya Abu Talib ka beta (x2).
Jab ik halka sa tabassum bana shamsheer-e-jalalat (x2)
To phir Fayyaz na jaanay woh hoti kaisi qayamat (x2).
Agar khul kar hans deta Abu Talib ka beta (x2).
Khuda hai ya banda Abu Talib ka beta.