Ghadeer Phir Ghadeer Hai
Hai boriya nasheen to kya ameer phir ameer hai.
Adu hai hukmaraan to kya faqeer phir faqeer hai.
Bohot se din hain eid ke ghadeer phir ghadeer hai.
1. Awaam ho ya hukmaran madad inhi se letay hain.
Ghulam zaada honay ki sanad inhi se letay hain.
Ghulam ho ya ke pisar haqeer phir haqeer hai.
2. Khushi ke din hai fitr azha aur mubahila sabhi.
Jo maasiyyat se paak ho woh roz bhi hai eid hi.
Khushi ke din bohot se hain ghadeer phir ghadeer hai.
3. Ali Nabi ka janasheen hai baab-e-shehr-e-ilm bhi.
Shareek-e-noor-e-Mustafa khawesh aur wasi wali.
Wo sab hai par Nabi nahi wazeer phir wazeer hai.
4. Halaak honay se bachaaya us ne tum ko baar ha.
Agarche tum ne har qadam pa Murtaza ko dukh diya.
Madad ko phir bhi aayega Ameer phir Ameer hai.
5. Jo masnad-e-Rasool par bazahir aa ke bethay hain.
Khalifa ho ke bhi woh mashwara Ali se letay hain.
Hai takht aani jaani sheh musheer phir musheer hai.
6. Tere muamilay mein kar rahay hain jo agar magar.
Nabi ki shahazadi haq nahi mila to ghum na kar.
Khalifa ho gaya to kya faqeer phir faqeer hai.
7. Agarche Hurr ne Sheh ki raah rok kar bura kiya.
Woh raat bhar yazeedi fauj mein agar raha to kya.
Woh haq pa hoga subh-o-dum zameer phir zameer hai.
8. Farog-e-maqsad-e-Hussain aaj bhi hai us ka kaam.
Woh Muslim-e-ghareeb woh safeer-e-Sayyad-ul-anaam.
Shaheed ho gaya magar safeer phir safeer hai.
9. Wo shaah-e-ins-o-jaa’n malaaeka ka bhi imam hai.
Usi ka Sibt-e-Jafar-e-haqeer bhi ghulaam hai
Ghulam sab baday sahi haqeer phir haqeer hai.
For more kalaams from Shaheed Sibt-e-Jafar Zaidi, check out this link.