Haye Shaam Ka Bazaar
ہاۓ شام کا بازار
ہاۓ شام کا بازار
سجّاد سے رونے کا سَبَب پوچھ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار
جو شام میں گُزری ہے وہ سب پوچھ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار
ہوں لاکھوں تماشائ بے پردہ پُھپی بہنیں
کیسے نہ لہو روئیں بیمار کی پھر آنکھیں
اِس غم کی اذیّت نے اُسے مار دیا ہے
ہاۓ شام کا بازار۔۔۔
کس طرح قرار آۓ بیمار کو اۓ لوگوں
سَر نیزوں پے پیاروں کے آتے ہیں نظر جس کو
بے جُرم مُسافر کی یہ کیسی سزا ہے
ہاۓ شام کا بازار۔۔۔
آنکھوں سے ہے خوں جاری غَمخوار ہے بیماری
زنجیر ہے پیروں میں اور طوق بھی ہے بھاری
جلتی ہے زمیں ساری اور گرم ہَوا ہے
ہاۓ شام کا بازار۔۔۔
جاگیر نہیں مانگی زنجیر نہیں بدلی
ساۓ میں نہیں بیٹھا پوشاک نہیں بدلی
ماں بہنوں کی خاطر وہ رِدا مانگ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار۔۔۔
زنداں کے مصائِب بھی ہر وقت رُلاتے ہیں
اشکوں کو مگر اپنے زینب سے چھُپاتے ہیں
مر جاۓ نہ زینب یہ کہیں سوچ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار ۔۔۔
زِنداں سے رہا ہو کے بھی زنداں میں ہے سجّاد
اِک ننّہی سی تُربَت جو وہاں کرتی ہے فریاد
مر کر بھی رہوں قید میں کیا میری ختا ہے
ہاۓ شام کا بازار ۔۔۔
یہ زخم بھی سَجّاد کو جینے نہیں دیتا
زخموں سے سکینہ کے جو چِپکا رہا کُرتا
وہ خوں بھرا کُرتا ہی کَفَن اُس کا بنا ہے
ہاۓ شام کا بازار ۔۔۔
بازار میں دربار میں زِندان میں روۓ
چالیس بَرَس موت کے ارمان میں روۓ
ریحانٓ میرا مولا تَڑَپتا ہی رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار ۔۔۔
سجّاد سے رونے کا سَبَب پوچھ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار
جو شام میں گُزری ہے وہ سب پوچھ رہا ہے
ہاۓ شام کا بازار
ہاۓ شام کا بازار
Haye shaam ka bazaar
Haye shaam ka bazaar
Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hai
Haye shaam ka bazaar
Jo shaam mein guzri hai wo sab pooch raha hai
Haye shaam ka bazaar
Ho laakho tamashaayi be parda phuphi behnein
Kaise na lahu roeyein beemar ki phir aankhein
Is gham ki aziyyat ne usay maar diya hai
Haye shaam ka bazaar
Kis tarha qaraar aaye beemar ko aye logo
Sar naizon pe pyaaro ke aatay hain nazar jis ko
Be jurm musaafir ki ye kaisi saza hai
Haye shaam ka bazaar
Aankhon se hai khoon jaari ghumkhwaar hai beemari
Zanjeer hai pairon mein aur touq bhi hai bhaari
Jalti hai zameen saari aur garm hawa hai
Haye shaam ka bazaar
Jageer nahi maangi zanjeer nahi badli
Saaye mein nahi baitha poshaak nahi badli
Maa behno ki khaatir wo rida maang raha hai
Haye shaam ka bazaar
Zindaan ke masayib bhi har waqt rulatay hain
Ashkon ko magar apnay Zainab se chupatay hain
Mar jaaye na Zainab ye kaheen soch raha hai
Haye shaam ka bazaar
Zindaan se riha ho ke bhi zindan mein hai Sajjad
Ikk nannhi si turbat jo wahan karti hai faryaad
Mar kar bhi rahoon qaid mein kya meri khata hai
Haye shaam ka bazaar
Ye zakhm bhi Sajjad ko jeenay nahi deta
Zakhmo se Sakina ke jo chipka raha kurta
Wo khoo bhara kurta hi kafan us ka bana hai
Haye shaam ka bazaar
Bazaar mein darbaar mein zindaan mein roye
Chalees baras maut ke armaan mein roye
Rehan mera mola tadapta hi raha hai
Haye shaam ka bazaar
Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hai
Haye shaam ka bazaar
Jo shaam mein guzri hai wo sab pooch raha hai
Haye shaam ka bazaar
Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/
Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar