Hum To Abbas Ke Sana Gar Hain, Hum Ko Maloom Hai Wafa Kya Hai
Khak Paaye Janab-e-Qambar Hain, Hum Ko Maloom Hai Wafa Kya Hai
In Ki Mad’ha Saraayi Mushkil Hai, In Ke Dar Ki Gadayi Mushkil Hai
Zikar-e-Abbas Ki Hadain Kya Hain, In Hadoan Tak Rasaayi Mushkil Hai
Woh Sakhawat Ka Ek Samandar Hai, Hum Ko Maloom…
Hum Mawaddat Ka Noor Rakhtay Hain, Zindagi Ka Sha’oor Rakhtay Hain
Aa gahi Ki Zakat Letay Hain, Hum Najasat Ko Duur Rakhtay Hain
Hain Gada gar Magar Tawangar Hain, Hum Ko Maloom…
Jab Sakhawat Ki Baat Hoti Hai, Lab Pe Ghazi Ka Naam Aata Hai
Woh Alamdaar Murtaza Ka Pisar, Har Museebat Mein Kaam Aata Hai
Woh sakhawat me misl-e-Haider hai, Hum ko maloom…
Aal-e-Ahmed ko jo bashar samjay, Aise logoan ka aytibaar nahin
Zikre aal-e-Nabi ke saudaayi, Aal-e-Ahmed ke gham ghusaar nahin
Log ye dushman-e-Payambar hai, Hum ko maloom…
Buhgs-e-Haider hai maut ki pat jhar, Ishq-e-Haider hayaat ka mausam
Ashq-e-gham hai sha’oor ka saavan, Aur Muharram najaat ka mausam
Ye jo aansoon hain laal-o-gauhar hain, Hum ko maloom…
Hashr ke roz ye kahainge Nabi, In mohibboan ka ehteraam karo
Pursadaar-e-Hussain aaye hain, Ae farishtoan utho salaam karo
In ki zaamin Nabi ki dukhtar hain, Hum ko maloom…
Aye muhib ahl-e-dil se ye kahiye, Ashq-e-gham mo’tabir hawaala hai
Aye rafiqoan nigaah-e-Zehra main, Sinaa zan ka mukaam aala hai
Ye azaadar haq ka payqar hai, Hum ko maloom…