Khalq huay jab tabhi se hai.
Allah Muhammad Ali se hai.
Hum ko muhabbat sabhi se hai.
Ulfat Hasnain-o-Zehra se.
Nafrat in ke sab aada se.
Deen bhi kaamil isi se hai (x2).
(Azal se le kar abad talak.
Mehad se le kar lehad talak.) (x2)
Dharas hum ko Ali se hai (x2).
(Aal-e-Nabi sa kahin nahi.
Farsh-e-zameen ta arsh-e-bareen.) (x2)
Jo kuch hai woh inhi se hai (x2).
(Apnay mola hain aoula.
Ali Nabi Allah mola.) (x2)
Hum ko garaz kya kisi se hai (x2).
(Ali ko dekh kar khush ho kar.
Kehtay hain ye abul bashar.) (x2)
Sifwat is aadmi se hai (x2).
(Kehta nahi ye nuseri hi.
Ali hai rab ke rab hai Ali.) (x2)
Marwi ye shafayi se hai (x2).
(Masjid ho ya kaaba ho.
Mimbar ho ya gazwa ho.) (x2)
Ronak saari Ali se hai. (x2)
(Jab se suna Sibt-e-Jafar.
Lehad mein aayainge Haider.) (x2)
Ajal ki hasrat tabhi se hai. (x2)