Hurr aa raha hai Akbar seenay usay lagao.
Hurr Ibn-e-Riyaahi Aa Ja Mairay Bhai.
Hurr aa raha hai Akbar seenay usay lagao (x2).
Mehmaan ko hamaray (x2). Khaimay mein le ke aao.
Hurr aa raha hai Akbar… (x2)
Khud yaad hoga us ko paani tha us ne roka.
Khuddar woh bohat hai sharminda hum se hoga.
Pyaasay hain saaray bachay us ko na ye bataao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Dekho woh chal raha hai maydaa’n mein ladhkhadha kar.
Girnay se pehlay Akbar us ko sambhaalo jaa kar.
Aye meray shah zaaday jaldi kadam badhaao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Abbas apnay dil se har baat saaf kar do.
Maa Fatima ke sadqay Hurr ko muaaf kar do.
Jaa kar alam ke us ko saaye mein le ke aao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Beta Hussain qaidi kaisay kisi ko dekhay.
Meri taraf se kholo tum us ke haath jaa ke.
Baba khafa nahi hain jaa kar usay batao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Tum se bhi pehlay marnay jaayega us ka beta.
Jee bhar ke dekh le woh apnay pisar ka chehra.
kam waqt reh gaya hai jaa kar usay batao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Taa hashr ye kareemi sab yaad hi rakhainge.
Mehmaan ka paseena khud saaf hum karainge.
Fizza hamaari maa ka romaal le ke aao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Jis dam suni Ali ki beti ne ye sadaayain.
Aansu baha ke us ko denay lagi duaaein.
Bachoan se phir ye boli Hurr ko galay lagao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Maa Fatima ke lab par us ke liye dua hai.
Gurbat mein us ne hum par ehsaan kar diya hai.
Hurr ke ghulam ko bhi izzat se le ke aao.
Hurr aa raha hai… (x2)
Sajjad kya bayaa’n ho kehti thee’n bint-e-Zehra.
Bhai ki jaa’n bachanay ik aur Habib aaya.
Mera salaam Fizza pohncha ke us ko aao.
Hurr aa raha…
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir