Kahan se laaye gi dunya Hussain ke jaisa (x2).
Faqat Hussain milay ga Hussain ke jaisa
Kahan se laaye gi dunya Hussain ke jaisa (x2).
1. Ibaadaton ka to jaari hai silsila ab tak.
Namaz ko woh namazi nahi mila ab tak.
Karay jo khaak pe sajda…
Kahan se laaye gi… (x2)
2. Khuda bhi naaz karay fakhr-e-aalameen banay.
Hai us Rasool ka haq Shah-e-Murasaleen banay.
Hai jis nabi ka nawasa…
Kahan se laaye gi… (x2)
3. Fazeelatain jo koi Karbala ki poochay ga.
Mujhay yaqeen hai Kaaba jawab ye de ga.
Nahi kisi ka bhi roza…
Kahan se laaye gi… (x2)
4. Dilair maan rahi hain shuja’atain tum ko.
Salam karti hain Asghar shahadatain tum ko.
Hai cheh mahinay may jazba…
Kahan se laaye gi… (x2)
5. Shikast kis ki hai maidaan main faisla kar le.
Daleelain chor de aa ja Mubahila kar le.
Hai teray paas to le aa…
Kahan se laaye gi… (x2)
6. Ye sirf khat nahi tehreer hai muqaddar ki.
Habib tum pe inaayat hui hai Sarwar ki.
Tumhay bulata hai Maula…
Kahan se laaye gi… (x2)
7. Nusayriyon se kaho chor dain bazid hona.
Qabool kaise karay ga wo lum yalid hona.
Jisay naseeb ho beta…
Kahan se laaye gi… (x2)
8. Khuda hi janay ke Abbas kya hai shaan teri.
Ye manzilat ye sa’aadat kisay naseeb hui.
Tujhe samajhti hain Zehra…
Kahan se laaye gi… (x2)
9. Sikha gayi hain zamany ko Sani-e-Zehra.
Yehi aqeeda hai Mukhtar aur Takallum ka.
Kahan hai wird koi Ya Hussain ke jaisa.
Kahan se laaye gi dunya Hussain ke jaisa. (x2)