Iss Baat Se Mehsoos Karo – Mir Hasan Mir

Iss baat se mehsoos karo kya hai Sakina.
Abbas ke honton ka qaseeda hai Sakina.

Aaeena-e-Zehra mein jo dekha tera bachpan.
Har aks pukaara ke tu Zehra hai Sakina.

Jo pyaas ke parcham ki Alamdar hai ab tak.
Abbas ki woh pyari Sakina hai Sakina.

Abbas ki nazron se koi padh ke to dekhay.
Ehsaas ki ek Nehj-e-balagha hai Sakina.

Jo Mashq mein bhar sakta hai dunya ke samandar.
Kaunain mein bas woh tera saqqa hai Sakina.

Har umr ke Haider ne jhulaya tera Jhoola.
Yeh aouj faqat tu ne hi paaya hai Sakina.

Daryaaon ke labno ke kalam choom rahay hain.
Maine abhi likha nahi socha hai sakina.

Rehaan ke Surat woh sar afraaz rahega.
Jisne Teri dehleez ko chooma hai Sakina.

Abbas ke honton ka qaseeda hai Sakina.

 

Check Also

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi - Mir Hasan Mir 2002-03

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi – Mir Hasan Mir 2002-03

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Wo jo yaad-e-Hasan mein basar ho gayi (x2).Bas wohi zindagi mo’tabar …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.