Jab Ayaa e Baligh Teray – Mir Hasan Mir

Jab ayaa e baligh teray tewar nazar aayay (x2).

Jab ayaa e baligh teray tewar nazar aayay.
Dunya mein Ali sab se kadaawar nazar aayay.
Jab aaya e baligh teray tewar nazar aayay.

1. Suraj ki kahin dhoop kahin ishq ka saaya (x2).
Ik waqt mein do tarhan ke manzar nazar aayay.
Jab aaya e baligh teray tewar nazar aayay.

2. Ik noor ke do tukday thay aaeena e khum mein (x2).
Jis rukh se bhi dekha wo barabar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…

3. Aelaan wilaayat ka hazaaron ne suna tha (x2).
Maangi jo shahadat to bahattar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…

4. Haathon se mere choot gaya sagar e kausar (x2).
Kausar pe jo khud saaqi e kausar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…

5. Allah re ye mojiza e noor e wilaayat (x2).
Andhoan ko bhi maidaan mein Haider nazar aayay.
Jab aaya e baligh…

6. Nabiyon ko jahaan dhoond raha tha main wahan par (x2).
Fizza nazar aayi kabhi kambar nazar aayay.
Jab aaya e baligh…

7. Keh dena ke Behlol hai ye Mir Hasan bhi.
Dunya jo uthaayay huay pathar nazar aayay.
Jab aaya e baligh tere tewar nazar aayay.

 

For more manqabats, nohas etc from Mir Hasan Mir check out http://www.abulhasanlakhani.com/tag/mir-hasan-mir/

Check out Mir Hasan Mir’s YouTube channel: www.youtube.com/MirHasanMir

Check Also

Hussain Bant Rahai Hain - Mir Hasan Mir

Hussain Bant Rahai Hain Nijaat Lai Jao

Hussain Bant Rahai Hain Nijaat Lai Jao Kuch Ansoo’n Kay Aewaz Kainaat Lai Jao Hussain …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.