Jab Kabhi Tum Gardish-e-Doraan – Ustad Pyare Khan

Jab Kabhi Tum Gardish-e-Doraan

Jab kabhi tum gardish-e-doraan se ghabraya karo.
Parcham-e-Abbas ke saaye main aa jaaya karo.

Jab kabhi paida ho dil mein khwahish-e-khuld-e-bareen (x2).
Majlis-e-Shabbir mein aaya karo jaaya karo (x2).

Jab kabhi tum…

Khud ba khud fiqr-o-amal ki tarbiyyat ho jaayegi (x2).
Apnay bachoan se alam Ghazi ka uthwaaya karo (x2).

Jab kabhi tum…

Rizq mein wus’at milay gi barkatein badh jayeingi (x2).
Haazri-e-Hazrat-e-Abbas karwaaya karo (x2).

Jab kabhi tum…

Habs ke maahol mein jab bhi ghutan mehsoos ho (x2).
Khushbu-e-zikr-e-Ali se ghar ko mehkaaya karo (x2).

Aaye jab madd-e-muqaabil waqt ka koi yazeed (x2).
Ya Hussain Ibn-e-Ali keh keh ke thukraaya karo (x2).

Jab kabhi tum gardish-e-

Check out other beautiful kalaams from Ustad Pyare Khan Sahab
https://www.abulhasanlakhani.com/category/manqabats/ustad-pyare-khan/

https://www.youtube.com/watch?v=8t9YheqeXJk

Check Also

Rehta Hai Jo Zamanay Mein - Ustad Pyare Khan

Rehta Hai Jo Zamanay Mein – Ustad Pyare Khan

Rehta Hai Jo Zamanay Mein Rehta hai jo zamanay mein Haider se duur duur.Hoga baroz …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.