Jao mere laal
Aayay jo qabr-e-Fatima pe Sayyad-e-anaam.
Rukhsaar rakh ke qabr pe ro kar kiya kalaam.
Sehra mein dil ke tukdoan ki basti basaaunga.
Amma Madinay laut ke main aa na paaunga.
Kaampa falak laraznay lagi qabr-e-Sayyeda.
Aayi janab-e-Fatima ki qabr se sadaa.
Jao meray laal.
Jao mere laal jao meray laal.
Tum pe har kadam rahay dua meri.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Ja rahay ho tum jo keh ke deen-e-haq bachaaunga.
Amma aap ki kasam main khoon mein nahaaunga.
Ab ho jo bhi haal tum ho paayemaal.
Tum pe har kadam rahay dua meri.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Bachpanay mein jo kiya tha waada Baaba jaan se.
Waqt ab wo aa gaya kafan tu sar se baandh le.
Dekh meray laal dee’n kaa hai sawaal.
Kaamiyabiyaa’n hai teray saath hi.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Chaahiye Khuda ke deen ko agar amaa’n.
Do ridaa-e-Zainab-e-hazeen ka saayebaa’n.
Jaao ab shitaab ibn-e-bu Turaab.
Hain tumharay saath baba jaan bhi.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
De raha hai deen-e-kibriyaa tumhain sadaa.
Al madad Hussain al madad Shah-e-huda.
Be watan Hussain mere dil ke cheyain.
Humsafar tumharay saath maa hui.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Shaanay baa wafa ke hongay jis ghadi qalam.
Royengay alam ke saayay mein tere haram.
Royegi wafaa aur karbala.
Royegi faraat aur tashnagee.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Akbar-e-jawaa’n jigar pe khaayega sinaa.
Maa kahay gi meraa chaand kho gaya kahaa’n.
Us pe noha khwaan hongay meri jaa’n.
Main bhi aur Hasan bhi aur Rasool bhi.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Ye sadaa mazaar-e-Sayyeda se Mazhar Abidi.
Sun ke ro diyay Hussain Mustafa ki aal bhi.
Jao mere laal jao mere laal.
Tum pe har kadam rahay dua meri.
Aur saaya-e-Khuda-e-Zuljalaal.
Jao mere…
Check out other noha’s by Syed Irfan Haider:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/syed-irfan-haider-rizvi/
Check out Syed Irfan Haider’s YouTube Channel
https://www.youtube.com/irfanhaider