Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).
Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).
1- Donoan baazu ko shehanshah-e-wafa ke thamay.
Laash-e-Abbas pe Shabbir buqa kartay thay.
Re bhai tum saath hamaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
2- Aaj bhi aati hai ye qabr-e-Sakina se sada.
Aye chacha laati na zindaan mein yun hum ko qaza.
Saath agar hum bhi tumharay jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
3- Kabhi chehra kabhi baazu kabhi seena peeta.
Qaid khanay se watan aayi to Zainab ne kaha.
Din na yun gham mein guzaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
4- Hotay Abbas to chinti na rida Zainab ki.
Paaon mein Abid-e-Muztar ke na bedi padhti.
Taaziyanay bhi na maaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
Ho ke paband-e-rasand Sayyad-e-Sajjad chalay.
Nehr ko dekh ke rotay huay ye kehnay lagay.
Sab watan saath hamaray jaatay (x2).
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).