Kaisay na karay sajda, taara dar-e-Zehra par (x2).
Suraj nazar aata hai (x2), zarra dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay sajda, taara dar-e-Zehra par
1. Jo Aal-e-Muhammad ki khairaat se waakif hai (x2).
Wo lekay nahi jaata (x2), kaasa dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
2. Is khwab ke aalam se rishta na mera tootay (x2).
Kehta hai koi mujhse (x2), so ja dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
3. Hum sab ki ibadat hai kaabay ki taraf sajda (x2).
Kaabay ke ibadat hai, sajda dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
4. Us dar pe puhanchnay se pehle chalo is dar par (x2).
Maujood abhi tak hai (x2), Fizza dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
5. Is dar ki faqeeri to khuddaar banati hai (x2).
Milta hai khudi ka bhi, tamgha dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
6. Kazim ho ya Muslim ho, Abbas ya Asghar ho (x2).
Har baab-e-hawaaij ko, dekha dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay…
7. Mat dhoond mazaaron mein, tu baad-e-kaza us ko (x2).
Milna hai Takallum se, aa ja dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay sajda, taara dar-e-Zehra par.
Suraj nazar aata hai (x2), zarra dar-e-Zehra par.
Kaisay na karay sajda, taara dar-e-Zehra par.
For more manqabats, nohas etc from Syed Mukhtar Hussain check out http://www.abulhasanlakhani.com/tag/syed-mukhtar-hussain-fatehpuri/