Karyal jawan ki lash.
Akbar. Haaye Akbar (x2). Akbar. Haaye Akbar.
Ghoray se gir ke jab Ali Akbar ne di sadaa.
Apni kamar ko thaam ke Shabbir ne kaha.
Karyal jawan ki lash uthanay chalay hain hum.
Aray seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Kadhyal jawan ki laash uthanay chalay hain hum.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Ye imtiha’n zaeefi mein mujhko nibhaana hai.
Akbar ko le ke khaima-e-Zainab mein jaana hai.
Rastay mein ladhkhadhayain na Shabbir ke kadam.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki lash …
Seedhi ho Aye kamar…
Gurbat pe apni roya hai khud ibn-e-Fatima.
Gir gir ke teh kiya hai ye maqtal ka faasla.
Bus hum se duur laash hai Akbar ki do kadam.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki lash…
Seedhi ho Aye kamar…
Rasha hai is kadar ke laraztay hain meray haath.
Lasha hai ye Rasool ka Akbar ke saath saath.
Do lashay aik saath uthaayenge kaisay hum.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki …
Seedhi ho Aye kamar…
Is haal mein kahee’n mujhay Zahra na dekh lein.
Meri kamar jhuki hui baba na dekh lein.
Aatay hee hongay meri madad ko shah-e-umam.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki …
Seedhi ho Aye kamar…
Seenay mein keh ke todi hai zaalim ne ye sina.
Ab dekhna Hussain ki niklay gi kaisay jaan.
Zaalim ko ye bataana hai Ibn-e-Ali hain hum.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki …
Seedhi ho Aye kamar…
Is haal mein khayaam mein jaonga kis tarha’n.
Zainab ki kaayinaat uthaaonga kis tarha’n.
Zehra ka chaand Karb-o-bala mein hua hai kham.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki …
Seedhi ho Aye kamar…
Amma ke saath mil ke sina main ne khench li.
Haathon mein ab hamaray wo taaqat nahi rahi.
Abbas kya gayay meray baazu huay qalam.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki …
Seedhi ho Aye kamar…
Baahein galay mein daal di Akbar ne jis ghadi.
Ibn-e-Ali ne ro ke takallum sada ye di.
Saansein bachi hain ab mere Akbar ke paass kam.
Seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Karyal jawan ki lash uthanay chalay hain hum.
Aray seedhi ho aye kamar tujhay Abbas ki kasam.
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir
This was very helpful for me to write it correctly in my copy
Thanks